SEARCH RESULTS
Showing search results for "nuqta-e-nazar"
Sher MATCHES FOR "nuqta-e-nazar"
Sher
sunte hai.n chamaktaa hai vo chaa.nd ab bhii sar-e-baam
hasrat hai ki bas ek nazar dekh le.n ham bhii
Zuhoor Nazar
Sher
kahe.n hai.n reKHta punjab me.n nazar-saahib
ba-qadr-e-zauq tum un kii suno hu.aa so hu.aa
Prem Kumar Nazar
Sher
Syed Amin Ashraf
Sher
ajab nahii.n ki ho diivaar nuqta-e-mauhuum
makaan ho ki makii.n do dilo.n kaa milnaa dekh
Syed Amin Ashraf
Sher
dekh kar shaa.ir ne us ko nukta-e-hikmat kahaa
aur be-soche zamaane ne use ''aurat'' kahaa
Shaad Aarfi
Sher
aalam-e-ishq me.n allaah-re nazar kii vus.at
nuqta-e-vahm hu.aa gumbad-e-garduu.n mujh ko
Sharaf Mujaddidi
Sher
KHaal-o-KHat se aib us ke ruu-e-aqdas ko nahii.n
husn hai mus.haf me.n honaa nuqta-e-e.araab kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
nazar kisii ko vo muu-e-kamar nahii.n aataa
ba-ra.ng-e-taar-e-nazar hai nazar nahii.n aataa
Meer Kallu Arsh
Sher
ishq me.n maarka-e-qalb-o-nazar kyaa kahiye
choT lagtii hai kahii.n dard kahii.n hotaa hai
Hafeez Banarasi
Sher
manzil na milii kashmakash-e-ahl-e-nazar me.n
is bhii.D se mai.n apnii nazar le ke chalaa huu.n
Salik Lakhnavi
Sher
vahii shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsuus hotii hai
kamii jis kii baraabar umr bhar mahsuus hotii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar kii manzil hai
ye aazmaa.ish-e-qalb-o-nazar kii manzil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
dil o nazar kii baqaa hai faqat mohabbat me.n
dil o nazar se ko.ii aur kaam mat lenaa
Fawad Ahmad
Sher
dilo.n ke dard jagaa KHvaahisho.n ke KHvaab sajaa
balaa-kashaan-e-nazar ke liye saraab sajaa