SEARCH RESULTS
Showing search results for "nurse.n"
Sher MATCHES FOR "nurse.n"
Sher
Nazir Tonki
Sher
raat ko jiit to paataa nahii.n lekin ye charaaG
kam se kam raat kaa nuqsaan bahut kartaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
rone vaale tujhe rone kaa saliiqa hii nahii.n
ashk piine ke liye hai.n ki bahaane ke liye
Anand Narayan Mulla
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
mujh saa ko.ii jahaan me.n naadaan bhii na ho
kar ke jo ishq kahtaa hai nuqsaan bhii na ho
Saadullah Shah
Sher
Jan Nisar Akhtar
Sher
vo kaun hai.n jinhe.n tauba kii mil ga.ii fursat
hame.n gunaah bhii karne ko zindagii kam hai
Anand Narayan Mulla
Sher
sar-e-mahshar yahii puuchhuu.ngaa KHudaa se pahle
tuu ne rokaa bhii thaa bande ko KHataa se pahle
Anand Narayan Mulla
Sher
ishq tuu ne ba.Daa nuqsaan kiyaa hai meraa
mai.n to us shaKHs se nafrat bhii nahii.n kar saktaa
Liaqat Jafri
Sher
ab aur is ke sivaa chaahte ho kyaa 'mullaa'
ye kam hai us ne tumhe.n muskuraa ke dekh liyaa
Anand Narayan Mulla
Sher
nuur-e-badan se phailii a.ndhere me.n chaa.ndnii
kap.De jo us ne shab ko utaare pala.ng par
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Anand Narayan Mulla
Sher
'mullaa' banaa diyaa hai ise bhii mahaaz-e-ja.ng
ik sulh kaa payaam thii urdu zabaa.n kabhii
Anand Narayan Mulla
Sher
ishq kartaa hai to phir ishq kii tauhiin na kar
yaa to behosh na ho, ho to na phir hosh me.n aa
Anand Narayan Mulla
Sher
mujhe kar ke chup ko.ii kahtaa hai ha.ns kar
unhe.n baat karne kii aadat nahii.n hai
Anand Narayan Mulla
Sher
Anand Narayan Mulla
Sher
zehn par bojh rahaa, dil bhii pareshaan hu.aa
in ba.De logo.n se mil kar ba.Daa nuqsaan hu.aa
Tariq Qamar
Sher
had-e-takmiil ko pahu.nchii tirii ra.anaa.ii-e-husn
jo kasar thii vo miTaa dii tirii a.ng.Daa.ii ne