SEARCH RESULTS
Showing search results for "paak-dil"
Sher MATCHES FOR "paak-dil"
Sher
sabr par dil ko to aamaada kiyaa hai lekin
hosh u.D jaate hai.n ab bhii tirii aavaaz ke saath
Aasi uldani
Sher
Unknown
Sher
charaaG qaum kaa raushan hai arsh par dil ke
use havaa ke farishte bujhaa nahii.n sakte
Chakbast Braj Narayan
Sher
phir us kii yaad ne dastak dil-e-hazii.n par dii
phir aa.nsu.o.n me.n nihaa.n us ke KHad-o-KHaal hu.e
Tahseen Firaqi
Sher
go tuu miltaa nahii.n par dil ke taqaaze se ham
roz ho aate hai.n sau baar tire kuuche me.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
vasl par dil hii kisii kaa na ho maa.il jab tak
hijr kii puurii zaruurat nahii.n kii jaa saktii
Azeez Adil
Sher
dil soz se KHaalii hai nigah paak nahii.n hai
phir is me.n ajab kyaa ki tuu bebaak nahii.n hai
Allama Iqbal
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
apnii is paak nigaaho.n se hame.n dekho to
ham kahii.n aur nahii.n dil me.n tire rahte hai.n
Haider Allahabadi
Sher
mandir bhii saaf ham ne kiye masjide.n bhii paak
mushkil ye hai ki dil kii safaa.ii na ho sakii
Tilok Chand Mahroom
Sher
dil liyaa taab-o-tavaa.n le chukaa jaa.n bhii le le
paak kar Daal bakhe.Daa ye sabhii jhanjhaT kaa
Mirza Azfari
Sher
dosto.n se is qadar sadme uThaa.e jaan par
dil se dushman kii adaavat kaa gila jaataa rahaa
Haidar Ali Aatish
Sher
bahut se saa.np the is Gaar ke dahaane par
dil is liye bhii KHazaana shumaar hone lagaa
Azhar Faragh
Sher
jis ke baGair jii nahii.n sakte the jaa chukaa
par dil se dard aa.nkh se aa.nsuu kahaa.n gayaa
Akbar Masoom
Sher
bas ek jaan bachii thii chhi.Dak dii raaho.n par
dil-e-Gariib ne ik ehtimaam saada kiyaa
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
jaane vaale se mulaaqaat na hone paa.ii
dil kii dil me.n hii rahii baat na hone paa.ii