SEARCH RESULTS
Showing search results for "pachhtaanaa"
Sher MATCHES FOR "pachhtaanaa"
Sher
Adeem Hashmi
Sher
yaad use bhii ek adhuuraa afsaana to hogaa
kal raste me.n us ne ham ko pahchaanaa to hogaa
Javed Akhtar
Sher
shaayad mujhe nikaal ke pachhtaa rahe ho.n aap
mahfil me.n is KHayaal se phir aa gayaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
aap pachhtaa.e.n nahii.n jaur se tauba na kare.n
aap ke sar kii qasam 'daaG' kaa haal achchhaa hai
Dagh Dehlvi
Sher
pachpan baras kii umr to hone ko aa ga.ii
lekin vo chehra aa.ankho.n se ojhal na ho sakaa
Munawwar Rana
Sher
safar taviil sahii haasil-e-safar ye hai
vahaa.n ko bhuul ga.e aur yahaa.n ko pahchaanaa
Wazir Agha
Sher
ajab tarah se guzaarii hai zindagii ham ne
jahaa.n me.n rah ke na kaar-e-jahaa.n ko pahchaanaa
Wazir Agha
Sher
mire junuu.n ne zamaane ko KHuub pahchaanaa
vo pairahan mujhe baKHshaa ki paara paara nahii.n
Allama Iqbal
Sher
aadmii pahchaanaa jaataa hai qayaafa dekh kar
KHat kaa mazmuu.n bhaa.np lete hai.n lifaafa dekh kar
Unknown
Sher
Kaleem Haider Sharar
Sher
utaaraa dil ke varaq par to kitnaa pachhtaayaa
vo intisaab jo pahle bas ik kitaab pe thaa
Aanis Moin
Sher
buto.n ko dekh ke sab ne KHudaa ko pahchaanaa
KHudaa ke ghar to ko.ii banda-e-KHudaa na gayaa
Yagana Changezi
Sher
ham ne to luT ke mohabbat kii rivaayat rakh lii
un se to pochhiye vo kis liye pachhtaate rahe
Mustafa Zaidi
Sher
zaalim jafaa jo chaahe so kar mujh pe tuu vale
pachhtaave phir tuu aap hii aisaa na kar kahii.n