SEARCH RESULTS
Showing search results for "paimaane"
Sher MATCHES FOR "paimaane"
Sher
ab to utnii bhii mayassar nahii.n mai-KHaane me.n
jitnii ham chho.D diyaa karte the paimaane me.n
Divakar Rahi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
duur se aa.e the saaqii sun ke mai-KHaane ko ham
bas taraste hii chale afsos paimaane ko ham
Nazeer Akbarabadi
Sher
tere paimaane me.n gardish nahii.n baaqii saaqii
aur tirii bazm se ab ko.ii uThaa chaahtaa hai
Parveen Shakir
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
fareb-e-saaqi-e-mahfil na puuchhiye 'majruuh'
sharaab ek hai badle hu.e hai.n paimaane
Majrooh Sultanpuri
Sher
maayuus dilo.n ko ab chhe.Do bhii to kyaa haasil
TuuTe hu.e paimaane fariyaad nahii.n karte
Figar Unnavi
Sher
ko.ii samjhaa.e ki kyaa rang hai maiKHaane kaa
aa.nkh saaqii kii uThe naam ho paimaane kaa
Iqbal Safi Puri
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
Qateel Shifai
Sher
ruuh kis mast kii pyaasii ga.ii mai-KHaane se
mai u.Dii jaatii hai saaqii tire paimaane se
Dagh Dehlvi
Sher
mar ga.e phir bhii ta'alluq hai ye mai-KHaane se
mere hisse kii chhalak jaatii hai paimaane se
Riyaz Khairabadi
Sher
mast karnaa hai to KHud mu.nh se lagaa de saaqii
tuu pilaa.egaa kahaa.n tak mujhe paimaane se
Jaleel Manikpuri
Sher
itnii tauhiin na kar merii balaa-noshii kii
saaqiyaa mujh ko na de maap ke paimaane se
Mela Ram Wafa
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
qad o gesuu lab-o-ruKHsaar ke afsaane chale
aaj mahfil me.n tire naam pe paimaane chale
Ahmad Rahi
Sher
mar gayaa huu.n pe ta'alluq hai ye mai-KHaane se
mere hisse kii chhalak jaatii hai paimaane se
Riyaz Khairabadi
Sher
saa.ns ruktii hai chhalakte hu.e paimaane me.n
ko.ii letaa thaa tiraa naam-e-vafaa aaKHir-e-shab