SEARCH RESULTS
Showing search results for "paivast-e-rag-e-jaan"
Sher MATCHES FOR "paivast-e-rag-e-jaan"
Sher
Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sher
aziiz-tar mujhe rakhtaa hai vo rag-e-jaa.n se
ye baat sach hai miraa baap kam nahii.n maa.n se
Tahir Shaheer
Sher
Iqbal Kausar
Sher
rishta-e-ulfat rag-e-jaa.n me.n buto.n kaa pa.D gayaa
ab ba-zaahir shaGl hai zunnaar kaa fe.al-e-abas
Bahram ji
Sher
Mehdi Ali Khan Zaki Lakhnavi
Sher
vo bazm se nikaal ke kahte hai.n ai 'zahiir'
jaa.o magar qariib-e-rag-e-jaa.n rahaa karo
Zaheer Kashmiri
Sher
duur ham kar na sake kor-nigaahii apnii
vo thaa pahle bhii qariib-e-rag-e-jaa.n aaj bhii hai
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
ham to samjhe the ki ik zaKHm hai bhar jaa.egaa
kyaa KHabar thii ki rag-e-jaa.n me.n utar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
ho ga.e raam jo tum Gair se a jaan-e-jahaa.n
jal rahii hai dil-e-pur-nuur kii lanka dekho
Kalb-e-husain Nadir
Sher
tirii nigaah se bachne me.n umr guzrii hai
utar gayaa rag-e-jaa.n me.n ye neshtar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Sher
ham us nigaah-e-naaz ko samjhe the neshtar
tum ne to muskuraa ke rag-e-jaa.n banaa diyaa
Asghar Gondvi
Sher
ab mere saath un kii nazar bhii hai be-qaraar
nashtar ta.Dap rahe hai.n rag-e-jaa.n ke saath saath
Azeem Murtaza
Sher
baaGbaa.n kaaTiyo mat mausam-e-gul me.n us ko
rag-e-jaa.n ko mirii nisbat hai rag-e-taak ke saath
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
rag-e-har-saaz ye kahtii hai ki ai naGma-taraaz
mujh ko ik saltanat-e-saut-o-sadaa chaahiye thii
Aslam Ansari
Sher
ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.n hai
ai chaaragaro dard ba.Dhaa kyuu.n nahii.n dete
Ahmad Faraz
Sher
ashk-e-Gam uqda-kushaa-e-KHalish-e-jaa.n niklaa
jis ko dushvaar mai.n samjhaa thaa vo aasaa.n niklaa