SEARCH RESULTS
Showing search results for "palaar"
Sher MATCHES FOR "palaar"
Sher
ko.ii mere dil se puuchhe tire tiir-e-niim-kash ko
ye KHalish kahaa.n se hotii jo jigar ke paar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
ik aur dariyaa kaa saamnaa thaa 'muniir' mujh ko
mai.n ek dariyaa ke paar utraa to mai.n ne dekhaa
Muneer Niyazi
Sher
suurmaa jis ke kinaaro.n se palaT aate hai.n
mai.n ne kashtii ko utaaraa hai usii paanii me.n
Sarvat Husain
Sher
tum phir usii adaa se a.ng.Daa.ii le ke ha.ns do
aa jaa.egaa palaT kar guzraa hu.aa zamaana
Shakeel Badayuni
Sher
shaam Dhalne se faqat shaam nahii.n Dhaltii hai
umr Dhal jaatii hai jaldii palaT aanaa mire dost
Ashfaq Nasir
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
agar palak pe hai motii to ye nahii.n kaafii
hunar bhii chaahiye alfaaz me.n pirone kaa
Javed Akhtar
Sher
raushnii baa.nTtaa huu.n sarhado.n ke paar bhii mai.n
ham-vatan is liye Gaddaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Sher
kaun Duubegaa kise paar utarnaa hai 'zafar'
faisla vaqt ke dariyaa me.n utar kar hogaa
Ahmad Zafar
Sher
tamaam KHaana-ba-dosho.n me.n mushtarak hai ye baat
sab apne apne gharo.n ko palaT ke dekhte hai.n
Iftikhar Arif
Sher
ik KHauf-e-be-panaah hai aa.nkho.n ke aar-paar
taariikiyo.n me.n Duubtaa lamha hai saamne
Sultan Akhtar
Sher
Azm Bahzad
Sher
maanaa nazar ke saamne hai be-shumaar dhu.nd
hai dekhnaa ki dhu.nd ke is paar kaun hai
Amjad Islam Amjad
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
jab se mu.nh ko lag ga.ii 'aKHtar' mohabbat kii sharaab
be-piye aaTho.n pahar madhosh rahnaa aa gayaa