SEARCH RESULTS
Showing search results for "pare"
Sher MATCHES FOR "pare"
Sher
dekh zindaa.n se pare ra.ng-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karnaa hai to phir paa.nv kii zanjiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Sher
in a.ndhero.n se pare is shab-e-Gam se aage
ik na.ii sub.h bhii hai shaam-e-alam se aage
Ishrat Qadri
Sher
fazaa kaa ta.ng honaa fitrat-e-aazaad se puuchho
par-e-parvaaz hii kyaa jo qafas ko aashiyaa.n samjhe
Figar Unnavi
Sher
kaun saanii shahr me.n is mere mah-paare kaa hai
chaa.nd sii suurat dupaTTa sar pe yak-taare kaa hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
hai par-e-sarhad-e-idraak se apnaa masjuud
qible ko ahl-e-nazar qibla-numaa kahte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
merii raato.n se pare duur vo mahtaab saa jism
us ko sochuu.n to mire KHvaab bhii jal jaate hai.n
Ahtamam Sadiq
Sher
mai.n adam se bhii pare huu.n varna Gaafil baar-haa
merii aah-e-aatishii.n se baal-e-anqaa jal gayaa
Mirza Ghalib
Sher
tum KHud hii daastaan badalte ho daf.atan
ham varna dekhte nahii.n kirdaar se pare
Dilawar Ali Aazar
Sher
tum merii masaafat ke liye aaKHirii had ho
ab tum se pare raahguzar ko.ii nahii.n hai
Khurram Khaleeq
Sher
tire makaa.n kaa taqaddus aziiz thaa itnaa
mai.n aa rahaa huu.n galii se pare utaar ke paa.nv
Sanaullah Zaheer
Sher
ham use anfus o aafaaq se rakhte hai.n pare
shaam ko.ii jo tire Gam se tahii jaatii hai
Mohsin Shakeel
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
taa.ir-e-aql ko ma.azuur kahaa zaahid ne
par-e-parvaaz me.n tasbiih kaa Doraa baa.ndhaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
is kashmakash me.n terii galii se pare rahe
aa.e kahaa.n pe harf kahaa.n par na aa.e harf
Abdul Mannan Tarzi
Sher
na sahii jism magar KHaak to u.Dtii phirtii
kaash jalte na kabhii baal-o-par-e-parvaana
Shahzad Ahmad
Sher
dariyaa pe Tiikrii se pare KHaanqaah thii
tab tere mere pyaar kii duniyaa gavaah thii