SEARCH RESULTS
Showing search results for "parnaa"
Sher MATCHES FOR "parnaa"
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
itne hijaabo.n par to ye aalam hai husn kaa
kyaa haal ho jo dekh le.n parda uThaa ke ham
Jigar Moradabadi
Sher
KHuub parda hai ki chilman se lage baiThe hai.n
saaf chhupte bhii nahii.n saamne aate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
kisii kaa ahd-e-javaanii me.n paarsaa honaa
qasam KHudaa kii ye tauhiin hai javaanii kii
Josh Malihabadi
Sher
silvaTe.n hai.n mire chehre pe to hairat kyuu.n hai
zindagii ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahnaa
Ahmad Faraz
Sher
coat aur patluun jab pahnaa to mister ban gayaa
jab ko.ii taqriir kii jalse me.n leader ban gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
na sataa.ish kii tamannaa na sile kii parvaa
gar nahii.n hai.n mire ash.aar me.n ma.anii na sahii
Mirza Ghalib
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
kashmiir kii vaadii me.n be-parda jo nikle ho
kyaa aag lagaa.oge barfiilii chaTaano.n me.n
Saghar Azmi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
javaa.n hone lage jab vo to ham se kar liyaa parda
hayaa yak-laKHt aa.ii aur shabaab aahista aahista
Ameer Minai
Sher
Azhar Faragh
Sher
sach ke saude me.n na pa.Dnaa ki KHasaaraa hogaa
jo hu.aa haal hamaaraa so tumhaaraa hogaa
Anjum Rumani
Sher
parda-e-lutf me.n ye zulm-o-sitam kyaa kahiye
haa.e zaalim tiraa andaaz-e-karam kyaa kahiye