SEARCH RESULTS
Showing search results for "pasiine"
Sher MATCHES FOR "pasiine"
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
aah kartaa huu.n to aate hai.n pasiine un ko
naala kartaa huu.n to raato.n ko vo Dar jaate hai.n
Saail Dehlvi
Sher
is liye sab se alag hai mirii KHushbuu 'aamii'
mushk-e-mazduur pasiine me.n liye phirtaa huu.n
Imran Aami
Sher
mai.n KHuun bahaa kar bhii hu.aa baaG me.n rusvaa
us gul ne magar kaam pasiine se nikaalaa
Iqbal Sajid
Sher
nikhar ga.e hai.n pasiine me.n bhiig kar aariz
gulo.n ne aur bhii shabnam se taazgii paa.ii
Ghulam Rabbani Taban
Sher
KHushbuu vo pasiine kii tirii yaad na aa jaa.e
gul kaisaa kabhii itr bhii suu.nghaa na kare.nge
Nizam Rampuri
Sher
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
sehr lagtaa hai pasiine me.n nahaayaa hu.aa jism
ye ajab nii.nd me.n Duubii hu.ii bedaarii hai
Shahzad Ahmad
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
achchhaa hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql
lekin kabhii kabhii ise tanhaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Sher
Jaun Eliya
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
saaqii mujhe sharaab kii tohmat nahii.n pasand
mujh ko tirii nigaah kaa ilzaam chaahiye
Abdul Hamid Adam
Sher
nikaal laayaa huu.n ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se pi.njra nikaalnaa hai