SEARCH RESULTS
Showing search results for "patluun"
Sher MATCHES FOR "patluun"
Sher
coat aur patluun jab pahnaa to mister ban gayaa
jab ko.ii taqriir kii jalse me.n leader ban gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
Haji Laq Laq
Sher
jeb Gaa.eb hai to nefaa hai baTan ke badle
tum ne patluun kaa paajaama banaa rakhaa hai
Ghaus Khah makhah Hyderabadi
Sher
aap pahluu me.n jo baiThe.n to sambhal kar baiThe.n
dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane kii
Jaleel Manikpuri
Sher
baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahluu ho.n
ko.ii pahluu to rahe baat badalne ke liye
Bekhud Dehlvi
Sher
Jaun Eliya
Sher
ba.Daa shor sunte the pahluu me.n dil kaa
jo chiiraa to ik qatra-e-KHuu.n na niklaa
Haidar Ali Aatish
Sher
kuchh khaTaktaa to hai pahluu me.n mire rah rah kar
ab KHudaa jaane tirii yaad hai yaa dil meraa
Jigar Moradabadi
Sher
Waliullah Muhib
Sher
jo ko.ii aave hai nazdiik hii baiThe hai tire
ham kahaa.n tak tire pahluu se sarakte jaave.n
Meer Hasan
Sher
tire pahluu me.n kyuu.n hotaa hai mahsuus
ki tujh se duur hotaa jaa rahaa huu.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
aur to paas mire hijr me.n kyaa rakkhaa hai
ik tire dard ko pahluu me.n chhupaa rakkhaa hai
Hasrat Mohani
Sher
kaise sukuun paa.uu.n tujhe dekhne ke ba.ad
ab kyaa Gazal sunaa.uu.n tujhe dekhne ke ba.ad