SEARCH RESULTS
Showing search results for "payaam-e-amal"
Sher MATCHES FOR "payaam-e-amal"
Sher
payaam-e-zindagii-e-nau na ban sakii.n sad haif
ye uudii uudii ghaTaa.e.n ye bhiigii bhiigii bahaar
Ada Jafarey
Sher
payaam-e-zer-e-lab aisaa ki kuchh sunaa na gayaa
ishaara paate hii a.ng.Daa.ii lii rahaa na gayaa
Yagana Changezi
Sher
Asghar Gondvi
Sher
musta.id huu.n tire zulfo.n kii siyaahii le kar
safha-e-naama-e-aamaal kuu.n kaalaa karne
Siraj Aurangabadi
Sher
aayaa payaam-e-vasl yakaayak jo yaar kaa
ma.aluum ye hu.aa ki ga.e din zavaal ke
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
Nooh Narvi
Sher
ham apnii nekii samajhte to hai.n tujhe lekin
shumaar naama-e-a.amaal me.n nahii.n karte
Azhar Faragh
Sher
qaasid payaam-e-shauq ko denaa bahut na tuul
kahnaa faqat ye un se ki aa.nkhe.n taras ga.ii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
yaade.n chale.n KHayaal chalaa ashk-e-tar chale
le kar payaam-e-shauq ka.ii naama-bar chale
Hosh Tirmizi
Sher
jab aa rahii hai.n bahaare.n liye payaam-e-junuu.n
ye pairahan ko mire haajat-e-rafuu kyaa thii
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
husn-e-amal me.n barkate.n hotii hai.n be-shumaar
patthar bhii to.Diye to saliiqe se to.Diye
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
jurm itne kar chalaa huu.n hashr tak likkhe.nge roz
kaatib-e-aamaal paa.e.nge na fursat kaam se
Waseem Khairabadi
Sher
the yahaa.n saare amal radd-e-amal ke muhtaaj
zindagii bhii hame.n darkaar thii marne ke liye
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
ba.Dh rahe hai.n har taraf azm o amal ke kaarvaa.n
murG anDe de rahe hai.n aur azaane.n murGiyaa.n
Saghar Khayyami
Sher
jab mai.n kahtaa huu.n ki yaa allaah meraa haal dekh
hukm hotaa hai ki apnaa naama-e-aamaal dekh
Akbar Allahabadi
Sher
ai falak kuchh to asar husn-e-amal me.n hotaa
shiisha ik roz to vaa.iz ke baGal me.n hotaa