SEARCH RESULTS
Showing search results for "pha.ns"
Sher MATCHES FOR "pha.ns"
Sher
ik ghar banaa ke kitne jhamelo.n me.n pha.ns ga.e
kitnaa sukuun be-sar-o-saamaaniyo.n me.n thaa
Riaz Majeed
Sher
Sardar Asif
Sher
na rahe baaG-e-jahaa.n me.n kabhii aaraam se ham
pha.ns ga.e qaid-e-qafas me.n jo chhuTe daam se ham
Santokh Rai Betab
Sher
u.Daano.n ne kiyaa thaa is qadar maayuus un ko
thake-haare parinde jaal me.n KHud pha.ns rahe the
Manish Shukla
Sher
jo phaa.ns chubh rahii hai dilo.n me.n vo tuu nikaal
jo paa.nv me.n chubhii thii use ham nikaal aa.e
Mansoor Usmani
Sher
na niklegaa dil us ke gesuu me.n pha.ns kar
ye kaalaa kabhii man ugaltaa nahii.n hai
Imdad Ali Bahr
Sher
Abdul Wahab Sukhan
Sher
dil kii shaamat aa.ii jaa kar pha.ns gayaa
yaar ke gesu-e-pur-KHam kyaa kare.n
Naseem Bharat Puri
Sher
ab na vo shorish-e-raftaar na vo josh-e-junuu.n
ham kahaa.n pha.ns ga.e yaaraan-e-subuk-gaam ke saath
Ali Jawad Zaidi
Sher
rasm-e-duniyaa ke salaasil me.n giraftaarii hai
mat Thaharnaa ki kahii.n phaa.ns javaa.n-tar ho jaa.e
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
pha.ns gayaa hai daam-e-kaakul me.n butaan-e-hind ke
taa.ir-e-dil ko hamaare raam-daanaa chaahiye
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Raja Mehdi Ali Khan
Sher
ham vahaa.n jaate to pha.ns jaate usii ke jaal me.n
duur hii se lauT aa.e dekh kar baazaar hai
Sayyed Riyaz Raheem
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
har nafas umr-e-guzishta kii hai mayyat 'faanii'
zindagii naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
Fani Badayuni
Sher
duniyaa-e-tasavvur ham aabaad nahii.n karte
yaad aate ho tum KHud hii ham yaad nahii.n karte