SEARCH RESULTS
Showing search results for "pha.nsaa"
Sher MATCHES FOR "pha.nsaa"
Sher
Aasi Ghazipuri
Sher
chalii jaatii hai tuu ai umr-e-rafta
ye ham ko kis musiibat me.n pha.nsaa kar
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ye kis azaab me.n us ne pha.nsaa diyaa mujh ko
ki us kaa dhyaan ko.ii kaam karne detaa nahii.n
Ata ul Haq Qasmi
Sher
mansuur ne na zulf ke kuuche kii raah lii
naahaq pha.nsaa vo qissa-e-daar-o-rasan ke biich
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dil ko phaa.nsaa hai har ik uzv kii tere chhab ne
haath ne paa.nv ne mukh.De ne dahan ne lab ne
Qayem Chaandpuri
Sher
vaarasta kar diyaa jise ulfat ne bas vo shaKHs
kab daam-e-kufr o rishta-e-islaam me.n pha.nsaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
dil miraa zulf setii chhuuT pha.nsaa abruu me.n
kufr kuu.n tark kiyaa maa.il-e-mehraab hu.aa
Siraj Aurangabadi
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
faqat nigaah se hotaa hai faisla dil kaa
na ho nigaah me.n shoKHii to dilbarii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ab havaa.e.n hii kare.ngii raushnii kaa faisla
jis diye me.n jaan hogii vo diyaa rah jaa.egaa
Mahshar Badayuni
Sher
duniyaa-e-tasavvur ham aabaad nahii.n karte
yaad aate ho tum KHud hii ham yaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Afzal Khan
Sher
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
qubuul kaise karuu.n un kaa faisla ki ye log
mire KHilaaf hii meraa bayaan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
Siraj Faisal Khan
Sher
ko.ii paaband-e-mohabbat hii bataa saktaa hai
ek diivaane kaa zanjiir se rishta kyaa hai