SEARCH RESULTS
Showing search results for "phaa.De.n"
Sher MATCHES FOR "phaa.De.n"
Sher
Allama Iqbal
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Javed Akhtar
Sher
aadmii jaan ke khaataa hai mohabbat me.n fareb
KHud-farebii hii mohabbat kaa sila ho jaise
Iqbal Azeem
Sher
samjhaa liyaa fareb se mujh ko to aap ne
dil se to puuchh liijiye kyuu.n be-qaraar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
bachche fareb khaa ke chataa.ii pe so ga.e
ik maa.n ubaaltii rahii pathar tamaam raat
Abdul Majid Nashtar Jabalpuri
Sher
lamhe udaas udaas fazaa.e.n ghuTii ghuTii
duniyaa agar yahii hai to duniyaa se bach ke chal
Shakeel Badayuni
Sher
ba.De vasuuq se duniyaa fareb detii rahii
ba.De KHuluus se ham e'tibaar karte rahe
Shaukat Wasti
Sher
Faheem Jogapuri
Sher
kah ke ye pher liyaa mu.nh mire afsaane se
faa.eda roz kahii.n baat ke dohraane se
Faheem Gorakhpuri
Sher
malbuus KHush-numaa hai.n magar jism khokhle
chhilke saje ho.n jaise phalo.n kii dukaan par
Shakeb Jalali
Sher
jo de sakaa na pahaa.Do.n ko barf kii chaadar
vo merii baa.njh zamii.n ko kapaas kyaa degaa
Mohsin Naqvi
Sher
badalte vaqt ne badle mizaaj bhii kaise
tirii adaa bhii ga.ii meraa baa.nkpan bhii gayaa
Faheem Shanas Kazmi
Sher
Hilal Fareed
Sher
thakii thakii sii fazaa.e.n bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaa.o
Saifuddin Saif
Sher
fareb-e-saaqi-e-mahfil na puuchhiye 'majruuh'
sharaab ek hai badle hu.e hai.n paimaane