SEARCH RESULTS
Showing search results for "phaa.nde"
Sher MATCHES FOR "phaa.nde"
Sher
us zulf ke phande se nikalnaa nahii.n mumkin
haa.n maa.ng ko.ii raah nikaale to nikaale
Jaleel Manikpuri
Sher
ishq ke phande se bachiye ai 'haqiir'-e-KHasta-dil
is kaa hai aaGaaz shiirii.n aur hai anjaam talKH
Haqeer
Sher
phir javaanii hai abhii kuchh hai la.Dakpan un kaa
do daGaa-baazo.n ke phande me.n hai joban un kaa
Mohammad Zakariyya Khan
Sher
Javed Akhtar
Sher
ko.ii paaband-e-mohabbat hii bataa saktaa hai
ek diivaane kaa zanjiir se rishta kyaa hai
Fana Nizami Kanpuri
Sher
mere alaava use KHud se bhii mohabbat hai
aur aisaa karne se vo bevafaa nahii.n hotii
Balmohan panday
Sher
Gaur se dekhte rahne kii sazaa paa.ii hai
terii tasviir in aa.nkho.n me.n utar aa.ii hai
Abhinandan Pandey
Sher
tadbiir mere ishq kii kyaa faa.eda tabiib
ab jaan hii ke saath ye aazaar jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
Gamo.n se bair thaa so ham ne KHud-kushii kar lii
shajar giraa ke parindo.n se intiqaam liyaa
Balmohan panday
Sher
ishq paaband-e-vafaa hai na ki paaband-e-rusuum
sar jhukaane ko nahii.n kahte hai.n sajda karnaa
Aasi uldani
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ye faiz-e-ishq thaa ki hu.ii har KHataa mu.aaf
vo KHush na ho sake to KHafaa bhii na ho sake
Makhmoor Jalandhari
Sher
ham ab udaas nahii.n sar-ba-sar udaasii hai.n
hame.n charaaG nahii.n raushnii kahaa jaa.e
Balmohan panday
Sher
banaa letaa hai mauj-e-KHuun-e-dil se ik chaman apnaa
vo paaband-e-qafas jo fitratan aazaad hotaa hai