SEARCH RESULTS
Showing search results for "phailaanaa"
Sher MATCHES FOR "phailaanaa"
Sher
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
zindagii tuu ne mujhe qabr se kam dii hai zamii.n
paa.nv phailaa.uu.n to diivaar me.n sar lagtaa hai
Bashir Badr
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
Jigar Moradabadi
Sher
chehre pe mire zulf ko phailaa.o kisii din
kyaa roz garajte ho baras jaa.o kisii din
Amjad Islam Amjad
Sher
ye mohabbat kaa fasaana bhii badal jaa.egaa
vaqt ke saath zamaana bhii badal jaa.egaa
Azhar Lakhnawi
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
Nushur Wahidi
Sher
paimaana kahe hai ko.ii mai-KHaana kahe hai
duniyaa tirii aa.nkho.n ko bhii kyaa kyaa na kahe hai
Unknown
Sher
mujh me.n saat samundar shor machaate hai.n
ek KHayaal ne dahshat phailaa rakkhii hai
Saqi Faruqi
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
ik buu.nd zahr ke liye phailaa rahe ho haath
dekho kabhii KHud apne badan ko nicho.D ke
Shahryar
Sher
ek bosa ho.nT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thii mirii us ke badan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
paas jab tak vo rahe dard thamaa rahtaa hai
phailtaa jaataa hai phir aa.nkh ke kaajal kii tarah
Parveen Shakir
Sher
ham ishq ke maaro.n kaa itnaa hii fasaanaa hai
rone ko nahii.n ko.ii ha.nsne ko zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
kamre me.n phailtaa rahaa cigarette kaa dhu.aa.n
mai.n band khi.Dkiyo.n kii taraf dekhtaa rahaa
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
duur tak phailaa hu.aa paanii hii paanii har taraf
ab ke baadal ne bahut kii mehrbaanii har taraf