SEARCH RESULTS
Showing search results for "phere"
Sher MATCHES FOR "phere"
Sher
idhar se aaj vo guzre to mu.nh phere hu.e guzre
ab un se bhii hamaarii be-kasii dekhii nahii.n jaatii
Asar Lakhnavi
Sher
Meer Mehdi Majrooh
Sher
mil ga.e the ek baar us ke jo mere lab se lab
'umr bhar ho.nTo.n pe apne mai.n zabaa.n pheraa kiyaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
mai.n ne to yuu.nhii raakh me.n pherii thii.n u.ngliyaa.n
dekhaa jo Gaur se tirii tasviir ban ga.ii
Saleem Betab
Sher
hu.aa hai shah kaa musaahib phire hai itraataa
vagarna shahr me.n 'Gaalib' kii aabruu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
aa.nkho.n ke pochhne se lagaa aag kaa pata
yuu.n chehra pher lene se chhuptaa nahii.n dhu.aa.n
Gulzar
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
kah ke ye pher liyaa mu.nh mire afsaane se
faa.eda roz kahii.n baat ke dohraane se
Faheem Gorakhpuri
Sher
kyaa kahe.n kitne maraasim the hamaare us se
vo jo ik shaKHs hai mu.nh pher ke jaane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
sab kii apnii manzile.n thii.n sab ke apne raaste
ek aavaara phire ham dar-ba-dar sab se alag
Sarmad Sahbai
Sher
aaj barso.n me.n to qismat se mulaaqaat hu.ii
aap mu.nh pher ke baiThe hai.n ye kyaa baat hu.ii
Qaisarul Jafri
Sher
Ghamgeen Dehlvi
Sher
apno.n ne nazar pherii to dil tuu ne diyaa saath
duniyaa me.n ko.ii dost mire kaam to aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
aap to mu.nh pher kar kahte hai.n aane ke liye
vasl kaa va.ada zaraa aa.nkhe.n milaa kar kiijiye
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
bahut Guruur hai tujh ko ai sar-phire tuufaa.n
mujhe bhii zid hai ki dariyaa ko paar karnaa hai
Unknown
Sher
kisii ke haath to lagtaa nahii.n hai ik ayyaar
kahaa.n talak tire piichhe ko.ii KHaraab phire