SEARCH RESULTS
Showing search results for "phudke"
Sher MATCHES FOR "phudke"
Sher
aasmaano.n me.n u.Daa karte hai.n phuule phuule
halke logo.n ke ba.De kaam havaa kartii hai
Mohammad Aazam
Sher
Gariib-e-shahr to faaqe se mar gayaa 'aarif'
amiir-e-shahr ne hiire se KHud-kushii kar lii
Arif Shafiq
Sher
chaahtaa huu.n phuu.nk duu.n is shahr ko
shahr me.n in kaa bhii ghar hai kyaa karuu.n
Kaif Bhopali
Sher
is tarah phuu.nk meraa gulistaan-e-aarzuu
phir ko.ii tere baa'd ise viiraa.n na kar sake
Azam Chishti
Sher
mai.n ghar ko phuu.nk rahaa thaa ba.De yaqiin ke saath
ki terii raah me.n pahlaa qadam uThaanaa thaa
Akhtar Shumar
Sher
mire banaa.e hu.e but me.n ruuh phuu.nk de ab
na ek umr kii mehnat mirii akaarat kar
Rajinder Manchanda Bani
Sher
na puuchho ham-safaro mujh se maajraa-e-vatan
vatan hai mujh pe fidaa aur mai.n fidaa-e-vatan
Mardan Ali Khan Rana
Sher
vatan ko phuu.nk rahe hai.n bahut se ahl-e-vatan
charaaG ghar ke hai.n sargarm ghar jalaane me.n
Mahtab Alam
Sher
mujhe phuu.nkne se pahle miraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat mire saath jal na jaa.e
Anwar Mirzapuri
Sher
Kaleem Haider Sharar
Sher
phuu.nkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat me.n ai KHudaa
afsuun-e-intizaar tamannaa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
phuuTne vaalii hai mazduur ke maathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-sub.h pe lahraate hai.n
Ali Sardar Jafri
Sher
gul phe.nke hai auro.n kii taraf balki samar bhii
ai KHaana-bar-andaaz-e-chaman kuchh to idhar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
namkii.n goyaa kabaab hai.n phiike sharaab ke
bosaa hai tujh labaa.n kaa maze-daar chaTpaTaa