SEARCH RESULTS
Showing search results for "piitte"
Sher MATCHES FOR "piitte"
Sher
yuu.n to marne ke liye zahr sabhii piite hai.n
zindagii tere liye zahr piyaa hai mai.n ne
Khalilur Rahman Azmi
Sher
qarz kii piite the mai lekin samajhte the ki haa.n
ra.ng laavegii hamaarii faaqa-mastii ek din
Mirza Ghalib
Sher
vaa.iz kii aa.nkhe.n khul ga.ii.n piite hii saaqiyaa
ye jaam-e-mai thaa yaa ko.ii dariyaa-e-nuur thaa
Yagana Changezi
Sher
do chaar din ke zulm nahii.n hai.n yaziid ke
piite hai.n log aaj bhii paanii KHariid ke
Hasan Kazmi
Sher
mai vo kyuu.n bahut piite bazm-e-Gair me.n yaa rab
aaj hii hu.aa manzuur un ko imtihaa.n apnaa
Mirza Ghalib
Sher
zindagii pyaar bharii mai.n ne yaqiinan jii hai
aap piite hai.n to lagtaa hai ki mai.n ne pii hai
Unknown
Sher
Nushur Wahidi
Sher
subuu me.n aks-e-ruKH-e-maahtaab dekhte hai.n
sharaab piite nahii.n ham sharaab dekhte hai.n
Arif Imam
Sher
dosto Dhuu.nD ke ham saa ko.ii pyaasaa laa.o
ham to aa.nsuu bhii jo piite hai.n to paanii kii tarah
Wali Aasi
Sher
sharaab piite hai.n to jaagte hai.n saarii raat
mudaam aabid-e-shab-zinda-daar ham bhii hai.n
Aagha Akbarabadi
Sher
be-abr ri.nd piite nahii.n vaa.izo sharaab
karte hai.n ye gunaah bhii rahmat ke zor par
Riyaz Khairabadi
Sher
khaate hai.n anguur piite hai.n sharaab
bas yahii masto.n kaa aab-o-daana hai
Muneer Shikohabadi
Sher
go ham sharaab piite hamesha hai.n de ke naqd
lekin mazaa kuchh aur hii paayaa udhaar me.n
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
KHuub jiine kaa mazaa paate hai.n ham
KHuun-e-dil piite hai.n Gam khaate hai.n ham