SEARCH RESULTS
Showing search results for "pil-pile"
Sher MATCHES FOR "pil-pile"
Sher
kuchh aisii pilaa de mujhe ai piir-e-muGaa.n aaj
qai.nchii kii tarah chalne lagii merii zabaa.n aaj
Aagha Akbarabadi
Sher
ghar me.n vahii piilii tanhaa.ii rahtii hai
diivaaro.n ke rang badalte rahte hai.n
Vikas Sharma Raaz
Sher
na.ii na.ii sii aag hai yaa phir kaun hai vo
piile phuulo.n gahre surKH libaado.n vaalii
Sarvat Husain
Sher
kab tiiro.n se talvaaro.n se Dartaa huu.n
shahr ke piile aKHbaaro.n se Dartaa huu.n
Shakeel Shah
Sher
saaqiyaa aisaa pilaa de mai kaa mujh ko jaam talKH
zindagii dushvaar ho aur ho mujhe aaraam talKH
Haqeer
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to jab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
pahle sharaab ziist thii ab ziist hai sharaab
ko.ii pilaa rahaa hai piye jaa rahaa huu.n mai.n