SEARCH RESULTS
Showing search results for "pis"
Sher MATCHES FOR "pis"
Sher
Syed Gulam Mohammad Mast Kalkattvi
Sher
ai hinaa rang-e-mohabbat to hai mujh me.n bhii nihaa.n
tere dhoke me.n ko.ii piis na Daale mujh ko
Muztar Khairabadi
Sher
dekhne bhii jo vo jaate hai.n kisii ghaayal ko
ik namak-daa.n me.n namak piis ke bhar lete hai.n
Agha Hajju Sharaf
Sher
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuu.n dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
aa.e the ha.nste khelte mai-KHaane me.n 'firaaq'
jab pii chuke sharaab to sanjiida ho ga.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
vo mujh ko chho.D ke jis aadmii ke paas gayaa
baraabarii kaa bhii hotaa to sabr aa jaataa
Parveen Shakir
Sher
itnii pii jaa.e ki miT jaa.e mai.n aur tuu kii tamiiz
yaanii ye hosh kii diivaar giraa dii jaa.e
Farhat Shahzad
Sher
baarish sharaab-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
baarish ke sab huruuf ko ulTaa ke pii gayaa
Abdul Hamid Adam
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
ek mahfil me.n ka.ii mahfile.n hotii hai.n shariik
jis ko bhii paas se dekhoge akelaa hogaa
Nida Fazli
Sher
phir kho na jaa.e.n ham kahii.n duniyaa kii bhii.D me.n
miltii hai paas aane kii mohlat kabhii kabhii
Sahir Ludhianvi
Sher
vo kahii.n bhii gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mire harjaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
mai.n aa.ndhiyo.n ke paas talaash-e-sabaa me.n huu.n
tum mujh se puuchhte ho miraa hausla hai kyaa