SEARCH RESULTS
Showing search results for "pitoge"
Sher MATCHES FOR "pitoge"
Sher
aa.o mil jaa.o ki ye vaqt na paa.oge kabhii
mai.n bhii ham-raah zamaane ke badal jaa.uu.ngaa
Dagh Dehlvi
Sher
ghasiiTte hu.e KHud ko phiroge 'zeb' kahaa.n
chalo ki KHaak ko de aa.e.n ye badan us kaa
Zeb Ghauri
Sher
merii aa.nkh ke taare ab na dekh paa.oge
raat ke musaafir the kho ga.e ujaalo.n me.n
Bashir Badr
Sher
dosto.n se ye kahuu.n kyaa ki mirii qadr karo
abhii arzaa.n huu.n kabhii paa.oge naayaab mujhe
Saba Akbarabadi
Sher
dekhoge to aa.egii tumhe.n apnii jafaa yaad
KHaamosh jise paa.oge KHaamosh na hogaa
Anjum Rumani
Sher
naqaab uThaa.o to har shai ko paa.oge saalim
ye kaa.enaat ba-taur-e-hijaab TuuTtii hai
Mashkoor Husain Yaad
Sher
vahshat ham apnii ba.ad-e-fanaa chho.D jaa.e.n
ab tum phiroge chaak garebaa.n kiye hu.e
Arzoo Lakhnavi
Sher
sau.np kar KHaana-e-dil Gam ko kidhar jaate ho
phir na paa.oge agar us ne ye ghar chho.D diyaa