SEARCH RESULTS
Showing search results for "piyo"
Sher MATCHES FOR "piyo"
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
vaa.iz na tum piyo na kisii ko pilaa sako
kyaa baat hai tumhaarii sharaab-e-tuhuur kii
Mirza Ghalib
Sher
chhaTe Gubaar-e-nazar baam-e-tuur aa jaa.e
piyo sharaab ki chehre pe nuur aa jaa.e
Ghulam Rabbani Taban
Sher
kyuu.n shikva-e-be-mehrii-e-saaqii hai labo.n par
piinaa hai to KHud ba.Dh ke piyo baada-gusaaro
Wahid Premi
Sher
aa.o KHush ho ke piyo kuchh na kaho vaa.iz ko
mai-kade me.n vo tamaashaa.ii hai kuchh aur nahii.n
Anjum Azmi
Sher
yuu.n to marne ke liye zahr sabhii piite hai.n
zindagii tere liye zahr piyaa hai mai.n ne
Khalilur Rahman Azmi
Sher
pahle sharaab ziist thii ab ziist hai sharaab
ko.ii pilaa rahaa hai piye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
haa.e vo vaqt ki jab be-piye mad-hoshii thii
haa.e ye vaqt ki ab pii ke bhii maKHmuur nahii.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
kabhii un mad-bharii aa.nkho.n se piyaa thaa ik jaam
aaj tak hosh nahii.n hosh nahii.n hosh nahii.n