SEARCH RESULTS
Showing search results for "post-man"
Sher MATCHES FOR "post-man"
Sher
apne haalaat se mai.n sulh to kar luu.n lekin
mujh me.n ruu-posh jo ik shaKHs hai mar jaa.egaa
Rais Farogh
Sher
ishq kii raah me.n mai.n mast kii tarah
kuchh nahii.n dekhtaa buland aur past
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vo maah jalva dikhaa kar hame.n hu.aa ruu-posh
ye aarzuu hai ki nikle kahii.n dobaaraa chaa.nd
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
ko.ii hai surKH-posh ko.ii zard-posh hai
aa dekh bazm me.n ki hu.ii hai bahaar-e-jaam
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
tanhaa tire maatam me.n nahii.n shaam-e-siyah-posh
rahtaa hai sadaa chaak garebaan-e-sahar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
mujhe yaqii.n to bahut thaa magar Galat niklaa
ki aabla kabhii paa-posh me.n nahii.n aataa
Farhat Ehsas
Sher
zinda rakhtaa thaa mujhe shakl dikhaa kar apnii
kahii.n ruu-posh hu.aa aur mujhe maar diyaa
Zafar Iqbal
Sher
tere KHush-posh faqiiro.n se vo milte to sahii
jo ye kahte hai.n vafaa pairhan-e-chaak me.n hai
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
jab Duub ga.ii kashtii ye raaz khulaa ham par
dariyaa ke talaatum me.n ruu-posh kinaare the
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
Shahid Jameel
Sher
Aqeel Abbas
Sher
bas ki hai pesh-e-nazar past-o-buland-e-aalam
Thokare.n khaa ke mirii aa.nkho.n me.n KHvaab aataa hai
Muneer Shikohabadi
Sher
ik mauj-e-Gam-gaziidgii se hai.n niDhaal sab
aa.iina-e-durust me.n sab hii saraab-posh