SEARCH RESULTS
Showing search results for "pukaartii.n"
Sher MATCHES FOR "pukaartii.n"
Sher
idhar udhar mirii aa.nkhe.n tujhe pukaartii hai.n
mirii nigaah nahii.n hai zabaan hai goyaa
Bismil Saeedi
Sher
pukaarte hai.n unhe.n saahilo.n ke sannaaTe
jo log Duub ga.e kashtiyaa.n banaate hu.e
Saleem Kausar
Sher
mai.n apnii pyaas me.n khoyaa rahaa KHabar na hu.ii
qadam qadam pe vo dariyaa pukaartaa thaa mujhe
Ashfaq Husain
Sher
pukaarte the mujhe aasmaa.n magar mai.n ne
qayaam karne ko ye KHaak-daa.n pasand kiyaa
Inam Nadeem
Sher
puurii aavaaz se ik roz pukaaruu.n tujh ko
aur phir merii zabaa.n par tiraa taalaa lag jaa.e
Zafar Iqbal
Sher
raat aa jaa.e to phir tujh ko pukaaruu.n yaa-rab
merii aavaaz ujaale me.n bikhar jaatii hai
Javed Nasir
Sher
sabhii ke apne masaa.il sabhii kii apnii anaa
pukaaruu.n kis ko jo de saath umr bhar meraa
Anwar Jalalpuri
Sher
miraa vajuud mirii ruuh ko pukaartaa hai
tirii taraf bhii chaluu.n to Thahar Thahar jaa.uu.n
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
ab teraa khel khel rahaa huu.n mai.n apne saath
KHud ko pukaartaa huu.n aur aataa nahii.n huu.n mai.n
Akbar Masoom
Sher
tamaam umr kisii aur naam se mujh ko
pukaartaa rahaa ik ajnabii zabaan me.n vo
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
kisii ko KHvaab me.n aksar pukaarte hai.n ham
'ataa' isii liye sote me.n ho.nT hilte hai.n
Ahmad Ata
Sher
kabhii to apnaa samajh kar javaab de Daalo
badal badal ke sadaa.e.n pukaartaa huu.n mai.n
Manzar Lakhnavi
Sher
mai.n us ko kho ke bhii us ko pukaartii hii rahii
ki saaraa rabt to aavaaz ke safar kaa thaa
Mansoora Ahmad
Sher
pukaartaa rahaa kis kis ko Duubne vaalaa
KHudaa the itne magar ko.ii aa.De aa na gayaa
Yagana Changezi
Sher
mai.n KHvaab dekh rahaa huu.n ki vo pukaartaa hai
aur apne jism se baahar nikal rahaa huu.n mai.n
Irfan Siddiqi
Sher
tumhe.n to qabr kii miTTii bhii ab pukaartii hai
yahaa.n ke log bhii uktaa.e hai.n chale jaa.o