SEARCH RESULTS
Showing search results for "purkhaash"
Sher MATCHES FOR "purkhaash"
Sher
larzaa.n hai kisii KHauf se jo shaam kaa chehra
aa.nkho.n me.n ko.ii KHvaab pirone nahii.n detaa
Parkash Fikri
Sher
in aablo.n se paa.nv ke ghabraa gayaa thaa mai.n
jii KHush hu.aa hai raah ko pur-KHaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
kaa.nTo.n kii zabaa.n suukh ga.ii pyaas se yaa rab
ik aabla-paa vaadi-e-pur-KHaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
haa.e kitnaa latiif hai vo Gam
jis ne baKHshaa hai zindagii kaa shu.uur
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
Sher
mujhe to yuu.n bhii isii raah se guzarnaa thaa
dil-e-tabaah kaa kuchh to ilaaj karnaa thaa
Parkash Fikri
Sher
murda pa.De the log gharo.n kii panaah me.n
dariyaa vafuur-e-Gaiz se biphraa thaa chaar suu
Parkash Fikri
Sher
dil kii shaamat aa.ii jaa kar pha.ns gayaa
yaar ke gesu-e-pur-KHam kyaa kare.n