SEARCH RESULTS
Showing search results for "pushta-e-jaa.n"
Sher MATCHES FOR "pushta-e-jaa.n"
Sher
bachaa.e.n aabruu jismo.n kii bhii.D me.n kaise
hai kholnii girah-e-jaa.n magar kahaa.n khole.n
Faza Ibn e Faizi
Sher
shah dil ko mil ga.ii hai phir un kii nigaah se
phir shauq Dhuu.nDhtaa hai dil-o-jaa.n na.e na.e
Syeda Shan-e-Meraj
Sher
ho ga.e raam jo tum Gair se a jaan-e-jahaa.n
jal rahii hai dil-e-pur-nuur kii lanka dekho
Kalb-e-husain Nadir
Sher
ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.n hai
ai chaaragaro dard ba.Dhaa kyuu.n nahii.n dete
Ahmad Faraz
Sher
ashk-e-Gam uqda-kushaa-e-KHalish-e-jaa.n niklaa
jis ko dushvaar mai.n samjhaa thaa vo aasaa.n niklaa
Hadi Machlishahri
Sher
Jaun Eliya
Sher
ushshaaq jaa.n-ba-kaf kha.De hai.n tere aas-paas
ai dil-rubaa-e-Gaarat-e-jaa.n apne fan me.n aa
Faez Dehlvi
Sher
Jaun Eliya
Sher
vahii kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaa.n hai 'iqbaal'
na ko.ii rabt banaa aur na rishta TuuTaa
Iqbal Haider
Sher
Jaun Eliya
Sher
azaab-e-vahshat-e-jaa.n kaa sila na maa.nge ko.ii
na.e safar ke liye raasta na maa.nge ko.ii
Iftikhar Arif
Sher
vo bazm se nikaal ke kahte hai.n ai 'zahiir'
jaa.o magar qariib-e-rag-e-jaa.n rahaa karo
Zaheer Kashmiri
Sher
husuul-e-manzil-e-jaa.n kaa hunar nahii.n aayaa
vo raushnii thii ki kuchh bhii nazar nahii.n aayaa
Bakhsh Layalpuri
Sher
qaid-e-aavaargii-e-jaa.n hii bahut hai mujh ko
ek diivaar mirii ruuh ke andar na banaa
Mushaf Iqbal Tausifi
Sher
Humaira Rahat
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
dar-haqiiqat ittisaal-e-jism-o-jaa.n hai zindagii
ye haqiiqat hai ki arbaab-e-himam ke vaaste
Aatish Bahawalpuri
Sher
masjid me.n tujh bha.nvo.n kii ai qibla-e-dil-o-jaa.n
palke.n hai.n muqtadii aur putlii imaam goyaa