SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaadir"
Sher MATCHES FOR "qaadir"
Sher
tuu qaadir o aadil hai magar tere jahaa.n me.n
hai.n talKH bahut banda-e-mazduur ke auqaat
Allama Iqbal
Sher
kitne mah-o-anjum hai.n ziyaa-paash azal se
lekin na hu.ii kam dil-e-insaa.n kii siyaahii
Qadir Siddiqi
Sher
haalaat badal sakte hai.n 'mannaan' kisii vaqt
ban jaa.e.nge ab saahab-e-dastaar tamaasha
Mannan Qdeer Mannan
Sher
jaa.n muzmahil udaas nazar chehra sogvaar
aise to us kii bazm me.n jaayaa na jaa.e gaa
Mahmood Abdul Qadeer
Sher
mai.n KHud se jhaga.Dne me.n huu.n masruuf mire dost
aur dekh rahe hai.n dar-o-diivaar tamaasha
Mannan Qdeer Mannan
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e
Obaidullah Aleem
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
kaun rotaa hai kisii aur kii KHaatir ai dost
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
gaahe gaahe kii mulaaqaat hii achchhii hai 'amiir'
qadr kho detaa hai har roz kaa aanaa jaanaa
Ameer Minai
Sher
bechain is qadar thaa ki soyaa na raat bhar
palko.n se likh rahaa thaa tiraa naam chaa.nd par
Unknown
Sher
is qadar musalsal thii.n shiddate.n judaa.ii kii
aaj pahlii baar us se mai.n ne bevafaa.ii kii
Ahmad Faraz
Sher
kal tak to aashnaa the magar aaj Gair ho
do din me.n ye mizaaj hai aage kii KHair ho
Dagh Dehlvi
Sher
zaahid sharaab piine se kaafir hu.aa mai.n kyuu.n
kyaa De.Dh chulluu paanii me.n iimaan bah gayaa