SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaahira"
Sher MATCHES FOR "qaahira"
Sher
patthar mujhe kahtaa hai miraa chaahne vaalaa
mai.n mom huu.n us ne mujhe chhuu kar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne me.n mujh ko zamaane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Habib Jalib
Sher
saadiq huu.n apne qaul kaa 'Gaalib' KHudaa gavaah
kahtaa huu.n sach ki jhuuT kii aadat nahii.n mujhe
Mirza Ghalib
Sher
jis se puuchhe.n tire baare me.n yahii kahtaa hai
KHuubsuurat hai vafaadaar nahii.n ho saktaa
Abbas Tabish
Sher
jab mai.n kahtaa huu.n ki yaa allaah meraa haal dekh
hukm hotaa hai ki apnaa naama-e-aamaal dekh
Akbar Allahabadi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
na duu.ngaa dil use mai.n ye hamesha kahtaa thaa
vo aaj le hii gayaa aur 'zafar' se kuchh na hu.aa
Bahadur Shah Zafar
Sher
zahr miiThaa ho to piine me.n mazaa aataa hai
baat sach kahiye magar yuu.n ki haqiiqat na lage
Fuzail Jafri
Sher
aql kahtii hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaa.iye
Mahirul Qadri
Sher
baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahluu ho.n
ko.ii pahluu to rahe baat badalne ke liye
Bekhud Dehlvi
Sher
kuchh is adaa se aap ne puuchhaa miraa mizaaj
kahnaa pa.Daa ki shukr hai parvardigaar kaa
Jaleel Manikpuri
Sher
us se milnaa to use eid-mubaarak kahnaa
ye bhii kahnaa ki mirii eid mubaarak kar de