SEARCH RESULTS
Showing search results for "qad..."
Sher MATCHES FOR "qad..."
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Allama Iqbal
Sher
saa.e kii tarah saath phire.n sarv o sanobar
tuu is qad-e-dilkash se jo gulzaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
tujh se mai.n ja.ng kaa elaan bhii kar hii duu.ngaa
mere dushman tuu mire qad ke baraabar to aa
Nadeem Gullani
Sher
raushnii me.n apnii shaKHsiyat pe jab bhii sochnaa
apne qad ko apne saa.e se bhii kam-tar dekhnaa
Himayat Ali Shayar
Sher
chashm-e-bad-duur ajab KHush-qad-o-qaamat hogaa
abhii fitna hai ko.ii din me.n qayaamat hogaa
Santokh Rai Betab
Sher
vahii saffaak havaa.o.n kaa sadaf bante hai.n
jin daraKHto.n kaa nikaltaa hu.aa qad hotaa hai
Shahid Meer
Sher
qad o gesuu lab-o-ruKHsaar ke afsaane chale
aaj mahfil me.n tire naam pe paimaane chale
Ahmad Rahi
Sher
apne daraaz-qad pe bahut naaz thaa jinhe.n
vo pe.D aa.ndhiyo.n me.n zamii.n se ukha.D ga.e
Nafas Ambalvi
Sher
sharm aa.ii hai mujhe apne qad-o-qaamat par
maa.n ke jab ho.nTh na paho.nche mirii peshaanii tak
Ghulam Husain Sajid
Sher
jab tak ki na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam
mai.n mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hu.aa thaa
Mirza Ghalib
Sher
jab kisii ne qad o gesuu kaa fasaana chhe.Daa
baat ba.Dh ke rasan-o-daar tak aa pahu.nchii hai
Kaleem Usmani
Sher
ghaTtii ba.Dhtii rahii parchhaa.ii.n mirii KHud mujh se
laakh chaahaa ki mire qad ke baraabar utre