SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaide.n"
Sher MATCHES FOR "qaide.n"
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thii lekin
kisii ne mujh ko giraftaar kar ke chho.D diyaa
Shakeel Badayuni
Sher
jise na aane kii qasme.n mai.n de ke aayaa huu.n
usii ke qadmo.n kii aahaT kaa intizaar bhii hai
Javed Naseemi
Sher
Iqbal Azeem
Sher
Amanullah Khalid
Sher
kyaa asar KHaak thaa majnuu.n ke phaTe kap.Do.n me.n
ek Tuk.Daa bhii to lailaa kaa garebaa.n na hu.aa
Muztar Khairabadi
Sher
miiThii baate.n, kabhii talKH lahje ke tiir
dil pe har din hai un kaa karam bhii nayaa
Quaiser Khalid
Sher
maile kap.Do.n kaa apnaa rang bhii thaa
phir bhii qismat me.n jag-ha.nsaa.ii thii
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
qaid-e-maz.hab kii giraftaarii se chhuT jaataa hai
ho na diivaana to hai aql se insaa.n KHaalii
Haidar Ali Aatish
Sher
na rahe baaG-e-jahaa.n me.n kabhii aaraam se ham
pha.ns ga.e qaid-e-qafas me.n jo chhuTe daam se ham
Santokh Rai Betab
Sher
qaid-e-Gam-e-hayaat bhii kyaa chiiz hai 'fanaa'
raah-e-faraar mil na sakii umr-bhar phire
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Shad Azimabadi
Sher
chaman vahii ki jahaa.n par labo.n ke phuul khile.n
badan vahii ki jahaa.n raat ho gavaaraa bhii
Asad Badayuni
Sher
jalaa.e merii hii cigarette mirii ayaadat par
ye meraa dost bhii hai kaa.iyaa.n ajiib-o-Gariib
Ehya Bhojpuri
Sher
baato.n se phuul jha.Dte the lekin KHabar na thii
ik din labo.n se un ke hii nashtar bhii aa.e.nge