SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaidii"
Sher MATCHES FOR "qaidii"
Sher
Saleem Kausar
Sher
aazaadiyo.n ke shauq o havas ne hame.n 'adiil'
ik ajnabii zamiin kaa qaidii banaa diyaa
Adeel Zaidi
Sher
ham vo qaidii hai.n badaltii nahii.n haalat jin kii
bas na.e saal pe zanjiir badal jaatii hai
Ahtamam Sadiq
Sher
mai.n santarii huu.n aurato.n kii jail kaa huzuur
do-chaar qaidii is liye kam gin rahaa huu.n mai.n
Sarfraz Arish
Sher
ek qaidii sub.h ko phaa.nsii lagaa kar mar gayaa
raat bhar Gazle.n sunaa.ii.n us ko thaanedaar ne
Saghar Khayyami
Sher
use kahaa.n hame.n qaidii banaa ke rakhnaa thaa
hamii.n ko shauq nahii.n thaa kabhii rihaa.ii kaa
Taleef Haidar
Sher
Nooh Narvi
Sher
chand qadmo.n se ziyaada nahii.n chalne paate
jis ko dekho vahii qaidii kisii zanjiir kaa hai
Azlan shah
Sher
qaidii rihaa hu.e the pahan kar na.e libaas
ham to qafas se o.Dh ke zanjiir chal pa.De
Asif Saqib
Sher
jo qaidii-e-mehan the 'jamiila' vo chal base
zindaa.n me.n ko.ii saahab-e-zindaa.n nahii.n rahaa
Jameela Khuda Bakhsh
Sher
qaidii banaa ke rakkhaa hai us ne tamaam umr
mujh ko hisaar-e-jaa.n se nikalne nahii.n diyaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
muzhda ai yaas ki yaa.n kunj-e-qafas ke qaidii
yak-ba-yak mausam-e-parvaaz me.n mar jaate hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
shaayad ki rihaa.ii ho gul hii kii zamaanat par
ham mauj-e-tabassum kii zanjiir ke qaidii hai.n
Ahmad Mahfuz
Sher
chhe.Dtii hai mujhe aa aa ke mirii aazaadii
go mai.n qaidii huu.n mire paa.nv me.n zanjiir bhii hai
Kaleem Ahmadabadi
Sher
gaah ho jaataa huu.n mai.n apnii anaa kaa qaidii
mai.n na aa.uu.n to phir aa kar mujhe chhu.Dvaa.egaa
Mohammad Ahmad
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
qurbate.n hote hu.e bhii faaslo.n me.n qaid hai.n
kitnii aazaadii se ham apnii hado.n me.n qaid hai.n