SEARCH RESULTS
Showing search results for "qandaq"
Sher MATCHES FOR "qandaq"
Sher
bulbul ke kaarobaar pe hai.n KHanda-haa-e-gul
kahte hai.n jis ko ishq KHalal hai dimaaG kaa
Mirza Ghalib
Sher
Munawwar Rana
Sher
is qadar bhii to na jazbaat pe qaabuu rakkho
thak ga.e ho to mire kaa.ndhe pe baazuu rakkho
Iftikhar Naseem
Sher
tumhe.n manaane kaa mujh ko KHayaal kyaa aa.e
ki apne aap se ruuThaa hu.aa to mai.n bhii huu.n
Ashfaq Husain
Sher
husn ko chaa.nd javaanii ko ka.nval kahte hai.n
un kii suurat nazar aa.e to Gazal kahte hai.n
Qateel Shifai
Sher
yuu.n terii rahguzar se diivaana-vaar guzre
kaa.ndhe pe apne rakh ke apnaa mazaar guzre
Meena Kumari Naz
Sher
phuul mahke.nge yuu.nhii chaa.nd yuu.nhii chamkegaa
tere hote hu.e manzar ko hasii.n rahnaa hai
Ashfaq Husain
Sher
mai.n apnii pyaas me.n khoyaa rahaa KHabar na hu.ii
qadam qadam pe vo dariyaa pukaartaa thaa mujhe
Ashfaq Husain
Sher
jo motiyo.n kii talab ne kabhii udaas kiyaa
to ham bhii raah se ka.nkar sameT laa.e bahut
Shakeb Jalali
Sher
Unknown
Sher
hamaaraa daur a.ndhero.n kaa daur hai lekin
hamaare daur kii muTThii me.n aaftaab bhii hai