SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaqa"
Sher MATCHES FOR "qaqa"
Sher
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
u.D chalaa vo ik judaa KHaaka liye sar me.n akelaa
sub.h kaa pahlaa parinda aasmaa.n bhar me.n akelaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
logo.n ne to suuraj kii chakaa-chau.nd ko puujaa
mai.n ne to tire saa.e ko bhii sajda kiyaa hai
Khatir Ghaznavi
Sher
jis kii is aalam-e-suurat me.n hai ra.ng-aamezii
usii tasviir kaa KHaaka to ye insaan bhii hai
Bedam Shah Warsi
Sher
Ameer Minai
Sher
jab mai.n kachchaa phal thaa to mahfuuz thaa mai.n
ab jo pakaa to mujh pe nishaana lagtaa hai
Yusuf Jamal
Sher
sar pe tuufaan bhii hai saamne girdaab bhii hai
merii himmat ki vahii kachchaa gha.Daa hai dekho
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
jaan dene kaa hunar har shaKHs ko aataa nahii.n
sohnii ke haath me.n kachchaa gha.Daa thaa dekhte
Ambar Bahraichi
Sher
usii huur kii ra.ngat u.Dii rone se hamaare
ra.ng-e-gul-e-firdaus bhii kachchaa nazar aayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
charKH ko madd-e-nazar hai khii.nchnaa puurii shabiih
maah-e-nau to sirf KHaaka hai tirii tasviir kaa
Jaleel Manikpuri
Sher
muft kii pii kar kahii thii ek din ham ne Gazal
sher uTh uTh kar chachaa Gaalib se Takraane lage
Masroor Shahjahanpuri
Sher
Syed Ashoor Kazmi
Sher
taariik saraabo.n kii chakaa-chau.nd me.n gum-sum
thaa saKHt musalmaan mai.n iimaan se pahle
Faisal Fehmi
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
Anwar Shuoor
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
Akbar Allahabadi
Sher
mai.n to Gazal sunaa ke akelaa kha.Daa rahaa
sab apne apne chaahne vaalo.n me.n kho ga.e