SEARCH RESULTS
Showing search results for "qasiim"
Sher MATCHES FOR "qasiim"
Sher
subuut maa.ngte hai.n vo mirii vafaa kaa 'jalaal'
har ik se tark-e-ta.alluq kiyaa hai jin ke liye
Qasim Jalal
Sher
tumhe.n jafaa se na yuu.n baaz aanaa chaahiye thaa
abhii kuchh aur miraa dil dukhaanaa chaahiye thaa
Pirzada Qasim
Sher
shahr talab kare agar tum se ilaaj-e-tiiragii
saahab-e-iKHtiyaar ho aag lagaa diyaa karo
Pirzada Qasim
Sher
us kii KHvaahish hai ki ab log na ro.e.n na ha.nse.n
be-hisii vaqt kii aavaaz banaa dii jaa.e
Pirzada Qasim
Sher
lab-e-shiirii.n se agar ho na teraa lab shiirii.n
kohkan tuu bhii to ab daaman-e-kohsaar na chho.D
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
ik sazaa aur asiiro.n ko sunaa dii jaa.e
ya.anii ab jurm-e-asiirii kii sazaa dii jaa.e
Pirzada Qasim
Sher
mujhe KHushii ki giraftaar mai.n hu.aa teraa
to shaad ho ki hai aisaa shikaar asiir miraa
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
Qasim Yaqub
Sher
Gam se bahal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n
dard me.n Dhal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n
Pirzada Qasim
Sher
KHuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa hu.aa
phir mujhe de diyaa gayaa ek diyaa bujhaa hu.aa
Pirzada Qasim
Sher
kyaa ho sake hisaab ki jab aagahii kahe
ab tak to raa.egaanii me.n saaraa safar kiyaa
Qasim Yaqub
Sher
ye jhaa.nk letii hai andar se aarzuu-KHaana
havaa kaa qad mirii diivaar se ziyaada hai
Qasim Yaqub
Sher
shaiKH mujh ko na Daraa apnii musalmaanii thaam
ham faqiiro.n kaa kisii rang se iimaan na jaa.e
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
Qasim Imam
Sher
hai judaa sajda kii jaa hinduu musalmaa.n kii magar
fahm vaalo.n ke ta.ii.n dair-o-haram dono.n ek
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
kaam hai matlab se chaahe kufr hove yaa ki dii.n
jaa pahu.nchnaa hai kisii suurat se apne yaar tak
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
naasehaa va.az jo kahtaa thaa tujhe bin dekhe
dekhte hii tujhe phir jaan ko khote dekhaa
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
nargisii chashm dikhaa kar ke vo vahshat-zada yaar
ye gayaa vo gayaa jis tarah Gazaal aap se aap