SEARCH RESULTS
Showing search results for "qatra"
Sher MATCHES FOR "qatra"
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
ba.Daa shor sunte the pahluu me.n dil kaa
jo chiiraa to ik qatra-e-KHuu.n na niklaa
Haidar Ali Aatish
Sher
zaraa saa qatra kahii.n aaj agar ubhartaa hai
samundaro.n hii ke lahje me.n baat kartaa hai
Waseem Barelvi
Sher
kitne dino.n ke pyaase ho.nge yaaro socho to
shabnam kaa qatra bhii jin ko dariyaa lagtaa hai
Qaisarul Jafri
Sher
Saail Dehlvi
Sher
Shad Azimabadi
Sher
Zeb Ghauri
Sher
Krishn Bihari Noor
Sher
maujo.n ke ittihaad kaa aalam na puuchhiye
qatra uThaa aur uTh ke samundar uThaa liyaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
achchhaa hu.aa mai.n vaqt ke mehvar se kaT gayaa
qatra guhar banaa jo samundar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
soz-e-Gam se ashk kaa ek ek qatra jal gayaa
aag paanii me.n lagii aisii ki dariyaa jal gayaa
Momin Khan Momin
Sher
qatra na ho to bahr na aa.e vajuud me.n
paanii kii ek buu.nd samundar se kam nahii.n
Junaid Hazin Lari
Sher
band ho jaataa hai kuuze me.n kabhii dariyaa bhii
aur kabhii qatra samundar me.n badal jaataa hai
Faryad Aazar
Sher
mil gayaa tuu mujhe meraa nahii.n rahne degaa
vo samundar mujhe qatra nahii.n rahne degaa
Azhar Faragh
Sher
aa.nsuu aa.nsuu jis ne dariyaa paar kiye
qatra qatra aab me.n uljhaa baiThaa hai