SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaul"
Sher MATCHES FOR "qaul"
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
saadiq huu.n apne qaul kaa 'Gaalib' KHudaa gavaah
kahtaa huu.n sach ki jhuuT kii aadat nahii.n mujhe
Mirza Ghalib
Sher
ye adaa.e.n ye ishaare ye hasii.n qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde me.n hai inkaar kii baat
Khalid Yusuf
Sher
qaul 'aabruu' kaa thaa ki na jaa.uu.ngaa us galii
ho kar ke be-qaraar dekho aaj phir gayaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
'Gaalib' apnaa ye aqiida hai ba-qaul-e-'naasiKH'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'miir' nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
Nooh Narvi
Sher
aap se mujh ko mohabbat jo nahii.n hai na sahii
aur ba-qaul aap ke hone ko agar hai bhii to kyaa
Muztar Khairabadi
Sher
kyaa buto.n me.n hai KHudaa jaane ba-qaul-ustaad
na kamar rakhte hai.n kaafir na dahan rakhte hai.n
Hatim Ali Mehr
Sher
shaayad savaab tum ko bhii mil jaa.e sab ke saath
sajde me.n gir bhii jaa.o du.aa kii kise KHabar
Sandeep Koul Nadim
Sher
staam kaa vasiiqa hu.aa is par registry
maanuu.ngaa mai.n na aap ke qaul-o-qasam faqat
Hatim Ali Mehr
Sher
pustako.n me.n paraano.n me.n arzo.n me.n aasmaano.n me.n
ek naam kii bhagTii ek qaul kaa kalima