SEARCH RESULTS
Showing search results for "qism"
Sher MATCHES FOR "qism"
Sher
saabit ye kar rahaa huu.n ki rahmat-shanaas huu.n
har qism kaa gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Mirza Shauq Lakhnavi
Sher
faqat rang hii un kaa kaalaa nahii.n hai
isii qism kii KHuubiyaa.n aur bhii hai.n
Sarfaraz Shahid
Sher
bazm me.n kuchh qadar-daa.n is qism ke aa jaa.e.nge
chhaa.nT kar aksar na.e juute churaa le jaa.e.nge
Zareef Lakhnavi
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
kis kis ko bataa.e.nge judaa.ii kaa sabab ham
tuu mujh se KHafaa hai to zamaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
jahaa.n rahegaa vahii.n raushnii luTaa.egaa
kisii charaaG kaa apnaa makaa.n nahii.n hotaa
Waseem Barelvi
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dil me.n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
kitnaa hasii.n gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
kabhii kisii ko mukammal jahaa.n nahii.n miltaa
kahii.n zamiin kahii.n aasmaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
vafaa kare.nge nibaahe.nge baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
ilaaj ye hai ki majbuur kar diyaa jaa.uu.n
vagarna yuu.n to kisii kii nahii.n sunii mai.n ne