SEARCH RESULTS
Showing search results for "ra.uunat-e-ra.ad-o-barq"
Sher MATCHES FOR "ra.uunat-e-ra.ad-o-barq"
Sher
yuu.n ehtimaam-e-radd-e-sahar kar diyaa gayaa
har raushnii ko shahr-badar kar diyaa gayaa
Sattar Syed
Sher
S A Mehdi
Sher
'barq' uftaada vo huu.n saltanat-e-aalam me.n
taaj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-paa hotaa hai
Mirza Raza Barq
Sher
kyaa KHuub 'barq' tuu ne dikhaayaa hai zor-e-tab.a
kaaGaz pe rakh diyaa hai kalejaa nikaal ke
Munshi Ram Rakha Barq
Sher
the yahaa.n saare amal radd-e-amal ke muhtaaj
zindagii bhii hame.n darkaar thii marne ke liye
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
ha.ngaam-e-vasl radd-o-badal mujh se hai abas
niklegaa kuchh na kaam nahii.n aur haa.n se aaj
Amanat Lakhnavi
Sher
band kar baiThe ho ghar radd-e-balaa kii KHaatir
ek khi.Dkii to khulii rakhte havaa kii KHaatir
Jaleel Haider Lashari
Sher
shah-zor apne zor me.n girtaa hai misl-e-barq
vo tifl kyaa giregaa jo ghuTno.n ke bal chale
Mirza Azeem Beg 'Azeem'
Sher
ai taab-e-barq tho.Dii sii takliif aur bhii
kuchh rah ga.e hai.n KHaar-o-KHas-e-aashiyaa.n hanuuz
Shefta Mustafa Khan
Sher
maqaam-e-barq jise aasmaa.n bhii kahte hai.n
iraada ab hai vahaa.n apnaa ghar banaane kaa
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
na KHauf-e-barq na KHauf-e-sharar lage hai mujhe
KHud apne baaG ke phuulo.n se Dar lage hai mujhe
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
taasiir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan me.n thii
ik larzish-e-KHafii mire saare badan me.n thii
Hasrat Mohani
Sher
Aftab Hussain
Sher
ye zor-e-barq-o-baad ye tuufaan al-amaa.n
mahruum ho na jaa.e.n kahii.n aashiyaa.n se ham
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
us vaqt se bachaa mujhe ai rabb-e-kaa.inaat
hubb-e-vatan ho dil me.n vatan kaaTne lage
Badr Muneer
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
dil me.n aa raah-e-chashm-e-hairaa.n sii.n
khul rahe hai.n mirii palak ke paaT