SEARCH RESULTS
Showing search results for "rabt-e-jaa.n"
Sher MATCHES FOR "rabt-e-jaa.n"
Sher
ab to faqat badan kii muravvat hai darmiyaa.n
thaa rabt-e-jaan-o-dil to shuruu.aat hii me.n thaa
Aziz Qaisi
Sher
bachaa.e.n aabruu jismo.n kii bhii.D me.n kaise
hai kholnii girah-e-jaa.n magar kahaa.n khole.n
Faza Ibn e Faizi
Sher
shah dil ko mil ga.ii hai phir un kii nigaah se
phir shauq Dhuu.nDhtaa hai dil-o-jaa.n na.e na.e
Syeda Shan-e-Meraj
Sher
ho ga.e raam jo tum Gair se a jaan-e-jahaa.n
jal rahii hai dil-e-pur-nuur kii lanka dekho
Kalb-e-husain Nadir
Sher
raat aa jaa.e to phir tujh ko pukaaruu.n yaa-rab
merii aavaaz ujaale me.n bikhar jaatii hai
Javed Nasir
Sher
Naseem Dehlvi
Sher
adab baKHshaa hai aisaa rabt-e-alfaaz-e-munaasib ne
do-zaanuu hai mirii tab-e-rasaa tarkiib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
KHalal-paziir hu.aa rabt-e-mehr-o-maah me.n vaqt
bataa ye tujh se judaa.ii kaa vaqt hai ki nahii.n
Aziz Hamid Madni
Sher
va.ade aur e'tibaar me.n hai rabt-e-baahamii
is rabt-e-baahamii kaa magar e'tibaar kiyaa
Nushur Wahidi
Sher
sulag rahaa hai ufuq bujh rahii hai aatish-e-mahr
rumuuz-e-rabt-e-gurezaa.n khule to baat chale
Aziz Hamid Madni
Sher
vo shauq-e-rabt-e-nau me.n kha.Dii jhuultii rahii
mai.n shaaKH-e-e.atibaar se phal kii tarah giraa
Idris Azad
Sher
ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.n hai
ai chaaragaro dard ba.Dhaa kyuu.n nahii.n dete
Ahmad Faraz
Sher
kahaa.n pe TuuTaa thaa rabt-e-kalaam yaad nahii.n
hayaat duur talak ham se ham-kalaam aa.ii
Zubair Rizvi
Sher
naadaa.n se ek umr rahaa mujh ko rabt-e-ishq
daanaa se ab pa.Daa hai sarokaar dekhnaa
Mah Laqa Chanda
Sher
ashk-e-Gam uqda-kushaa-e-KHalish-e-jaa.n niklaa
jis ko dushvaar mai.n samjhaa thaa vo aasaa.n niklaa
Hadi Machlishahri
Sher
Jaun Eliya
Sher
ushshaaq jaa.n-ba-kaf kha.De hai.n tere aas-paas
ai dil-rubaa-e-Gaarat-e-jaa.n apne fan me.n aa