SEARCH RESULTS
Showing search results for "rachaa-basaa"
Sher MATCHES FOR "rachaa-basaa"
Sher
vo itr-daan saa lahja mire buzurgo.n kaa
rachii-basii hu.ii urdu zabaan kii KHushbuu
Bashir Badr
Sher
jab tak rahaa huu.n dhuup me.n chaadar banaa rahaa
mai.n apnii maa.n kaa aaKHirii zevar banaa rahaa
Munawwar Rana
Sher
har baat par jo kahtaa rahaa mai.n bajaa bajaa
us ne kahaa ki yuu.n hii musalsal bajaa karo
Dilawar Figar
Sher
sabhii ke dil me.n basaa huu.n KHaraab hote hu.e
chaman ko Dhuu.nD rahaa huu.n gulaab hote hu.e
Suhaib Farooqui
Sher
zard phuulo.n me.n basaa KHvaab me.n rahne vaalaa
dhund me.n uljhaa rahaa nii.nd me.n chalne vaalaa
Ali Akbar Natiq
Sher
bataa rahaa hai jhaTaknaa tirii kalaa.ii kaa
zaraa bhii ranj nahii.n hai tujhe judaa.ii kaa
Azhar Faragh
Sher
haalat-e-haal se begaana banaa rakkhaa hai
KHud ko maazii kaa nihaa.n-KHaana banaa rakkhaa hai
Abbas Qamar
Sher
jab se tuu ne mujhe diivaana banaa rakkhaa hai
sa.ng har shaKHs ne haatho.n me.n uThaa rakkhaa hai
Hakeem Nasir
Sher
hostel kyaa hai tavelaa saa banaa rakkhaa hai
aur vo samjhe hai.n ki firdaus sajaa rakkhaa hai
Col. Mohammad Khan
Sher
tujhe mai.n zindagii apnii samajh rahaa thaa magar
tire baGair basar mai.n ne zindagii kar lii
Arif Shafiq
Sher
banaa rahaa huu.n abhii ghar ko aa.ina-KHaana
phir apne haath me.n patthar bhii dekhnaa hai mujhe
Arif Imam
Sher
banaa rahaa huu.n mai.n fehrist chhoTe logo.n kii
malaal ye ki ba.De naam is me.n aate hai.n
Ejaaz tawakkal
Sher
vo to bataa rahaa thaa ka.ii roz kaa safar
zanjiir khii.nch kar jo musaafir utar gayaa