SEARCH RESULTS
Showing search results for "rahguzar takte rahe"
Sher MATCHES FOR "rahguzar takte rahe"
Sher
jis ko chaahaa bas usii kaa raasta takte rahe
pattharo.n kii justujuu me.n KHud ko patthar kar liyaa
aqeel nomani
Sher
takte rahte the kinaare se musalsal dono.n
jaane dariyaa me.n bhii kyaa vaqt bahaa.e ga.e the
Asif Bilal
Sher
takte rahte the kinaare se musalsal dono.n
jaane dariyaa me.n bhii kyaa vaqt bahaa.e ga.e the
Asif Bilal
Sher
utar hii jaa.egaa ik din KHumaar gandum kaa
ye kyaa ki har gha.Dii raftaar-e-jaa.n ko takte raho
Azm Shakri
Sher
mere andar ko.ii taktaa rahaa rasta us kaa
mai.n hamesha ke liye rah ga.ii chilman ban ke
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
dilchasp ho ga.ii tire chalne se rahguzar
uTh uTh ke gard-e-raah lipaTtii hai raah se
Jaleel Manikpuri
Sher
zindagii vaadii o sahraa kaa safar hai kyuu.n hai
itnii viiraan mirii raah-guzar hai kyuu.n hai
Ibrahim Ashk
Sher
aap jis rah-guzar-e-dil se kabhii guzre the
us pe taa-umr kisii ko bhii guzarne na diyaa
Azad Gulati
Sher
rah-guzar kaa hai taqaazaa ki abhii aur chalo
ek ummiid jo manzil ke nishaa.n tak pahu.nchii
Muzaffar Abdali
Sher
Aziz Nabeel
Sher
ko.ii baadal mere tapte jism par barsaa nahii.n
jal rahaa huu.n jaane kab se jism kii garmii ke saath
Iftikhar Naseem
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
aazaadii ne baazuu bhii salaamat nahii.n rakkhe
ai taaqat-e-parvaaz tujhe laa.e.n kahaa.n se
Bismil Azimabadi
Sher
jaanaa pa.Daa raqiib ke dar par hazaar baar
ai kaash jaantaa na tire rah-guzar ko mai.n
Mirza Ghalib
Sher
ek muddat se tirii diid kii pyaasii aa.nkhe.n
raah takte hu.e biinaa.ii ga.nvaa baiThii hai.n