SEARCH RESULTS
Showing search results for "rakhte"
Sher MATCHES FOR "rakhte"
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Ummeed Fazli
Sher
ghar kii is baar mukammal mai.n talaashii luu.ngaa
Gam chhupaa kar mire maa.n baap kahaa.n rakhte the
Sajid Jawed Sajid
Sher
nigah buland suKHan dil-navaaz jaa.n pur-soz
yahii hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaa.n ke liye
Allama Iqbal
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
masruuf hai.n kuchh itne ki ham kaar-e-mohabbat
aaGaaz to kar lete hai.n jaarii nahii.n rakhte
Abbas Tabish
Sher
sutuun-e-daar pe rakhte chalo saro.n ke charaaG
jahaa.n talak ye sitam kii siyaah raat chale
Majrooh Sultanpuri
Sher
kahne ke liye ham bhii zabaa.n rakhte hai.n lekin
ye zarf hamaaraa hai ki ham kuchh nahii.n kahte
Siddiq Fatahpuri
Sher
aa.nkh rakhte ho to us aa.nkh kii tahriir pa.Dho
mu.nh se iqraar na karnaa to hai aadat us kii
Shahzad Ahmad
Sher
aaise Dare hu.e hai.n zamaane kii chaal se
ghar me.n bhii paa.nv rakhte hai.n ham to sambhaal kar
Adil Mansuri
Sher
farishta hai to taqaddus tujhe mubaarak ho
ham aadmii hai.n to aib-o-hunar bhii rakhte hai.n
Dil Ayubi
Sher
'saudaa' jo be-KHabar hai vahii yaa.n kare hai aish
mushkil bahut hai un ko jo rakhte hai.n aagahii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Allama Iqbal
Sher
zindagii apnii jab is shakl se guzrii 'Gaalib'
ham bhii kyaa yaad kare.nge ki KHudaa rakhte the
Mirza Ghalib
Sher
rakhte hai.n mohabbat ko taGaaful me.n chhupaa kar
parvaa hii to karte hai.n jo parvaa nahii.n karte
Junaid Akhtar
Sher
rakhte ho agar aa.nkh to baahar se na dekho
dekho mujhe andar se bahut TuuT chukaa huu.n
Mohammad Alvi
Sher
ye log homo-havan me.n yaqiin rakhte hai.n
chalo yahaa.n se chale.n haath jal na jaa.e kahii.n
Dushyant Kumar
Sher
kahii.n KHuluus kahii.n dostii kahii.n pe vafaa
ba.De qariine se ghar ko sajaa ke rakhte hai.n