SEARCH RESULTS
Showing search results for "ranj-o-malaal-e-yaas-o-alam"
Sher MATCHES FOR "ranj-o-malaal-e-yaas-o-alam"
Sher
Ehtisham ul Haq Siddiqui
Sher
afsos umr kaT ga.ii ra.nj-o-malaal me.n
dekhaa na KHvaab me.n bhii jo kuchh thaa KHayaal me.n
Imdad Imam Asar
Sher
umiid kaa ye rang hai hujuum-e-ra.nj-o-yaas me.n
ki jis tarah ko.ii hasii.n ho maatamii libaas me.n
Bekhud Mohani
Sher
Gam-e-hayaat o Gam-e-dost kii kashaakash me.n
ham aise log to ra.nj-o-malaal se bhii ga.e
Aziz Hamid Madni
Sher
ra.nj o alam kaa lutf uThaane ke vaaste
raahat se bhii nibaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jagdish Sahay Saxena
Sher
ranj-o-alam kii ko.ii haqiiqat na puuchhiye
kitnii hai mere dard kii azmat na puuchhiye
Azizunnisa Naz
Sher
ranj-o-Gam dard-o-alam zillat-o-rusvaa.ii hai
ham ne ye dil ke lagaane kii sazaa paa.ii hai
Fida Kadvi
Sher
ranj-o-Gam aur alam-o-dard kaa lashkar nikle
ishq to tab hai jab aa.nkho.n se samandar nikle
Manzar Suhai
Sher
yaad-e-ayyaam ki ik mahfil-e-jaa.n thii ki jahaa.n
haath khii.nche bhii ga.e aur milaa.e bhii ga.e
Jaun Eliya
Sher
ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr
masruur hai.n tirii KHalish-e-naa-tavaa.n se ham
Hasrat Mohani
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
ai gardish-e-ayyaam hame.n ranj bahut hai
kuchh KHvaab the aaise ki bikharne ke nahii.n the
Zakariya Shaz
Sher
zindagii bhar na yam-e-diida-e-giryaa.n Thahraa
kashtii-e-umr Dubo.ii to ye tuufaa.n Thahraa
Mirza Azam Ali Azam
Sher
mujh ko ka.aba me.n bhii hamesha shaiKH
yaad-e-ayyaam-e-but-parastii thii
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije