SEARCH RESULTS
Showing search results for "rashk"
Sher MATCHES FOR "rashk"
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
rashk se naam nahii.n lete ki sun le na ko.ii
dil hii dil me.n use ham yaad kiyaa karte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
jaltaa hai ab talak tirii zulfo.n ke rashk se
har-chand ho gayaa hai chaman kaa charaaG gul
Abroo Shah Mubarak
Sher
jo ye kahe ki reKHta kyuu.nke ho rashk-e-faarsii
gufta-e-'Gaalib' ek baar pa.Dh ke use sunaa ki yuu.n
Mirza Ghalib
Sher
misl-e-aa.iina hai us rashk-e-qamar kaa pahluu
saaf idhar se nazar aataa hai udhar kaa pahluu
Meer Khaleeq
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ai rashk-e-maah raat ko muTThii na kholnaa
mehdii kaa chor haath se jaa.e na chhuuT ke
Muneer Shikohabadi
Sher
rashk kahtaa hai ki us kaa Gair se iKHlaas haif
aql kahtii hai ki vo be-mehr kis kaa aashnaa
Mirza Ghalib
Sher
furqat qubuul rashk ke sadme nahii.n qubuul
kyaa aa.e.n ham raqiib terii anjuman me.n hai
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
dil un ko muft dene me.n dushman ko rashk kyuu.n
ham apnaa maal dete hai.n is me.n kisii kaa kyaa
Muztar Khairabadi
Sher
sadme uThaa.e.n rashk ke kab tak jo ho so ho
yaa to raqiib hii nahii.n yaa aaj ham nahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ghar mire shab ko jo vo rashk-e-qamar aa niklaa
ho ga.e partav-e-ruKH se dar o diivaar safed
Amanat Lakhnavi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
hamaarii saada-mizaajii pe rashk karte hai.n
vo saada-posh jo be-intihaa ra.ngiile hai.n
Sultan Akhtar
Sher
ab us pe chaa.nd sitaare bhii rashk karte hai.n
vo ik diyaa jo kabhii dasht me.n bujhaayaa gayaa
Adnan Mohsin
Sher
amrad-parast hai to gulistaa.n kii sair kar
har naunihaal rashk hai yaa.n KHurd-saal kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
shaayad aa jaa.e kabhii dekhne vo rashk-e-masiih
mai.n kisii aur se is vaaste achchhaa na hu.aa
Anwar Taban
Sher
kyaa rashk hai ki ek kaa hai ek mudda.ii
tum dil me.n ho to dard hamaare jigar me.n hai