SEARCH RESULTS
Showing search results for "raste"
Sher MATCHES FOR "raste"
Sher
Mustafa Zaidi
Sher
Dar ham ko bhii lagtaa hai raste ke sannaaTe se
lekin ek safar par ai dil ab jaanaa to hogaa
Javed Akhtar
Sher
mai.n abhii se kis tarah un ko bevafaa kahuu.n
manzilo.n kii baat hai raaste me.n kyaa kahuu.n
Nushur Wahidi
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
yaad use bhii ek adhuuraa afsaana to hogaa
kal raste me.n us ne ham ko pahchaanaa to hogaa
Javed Akhtar
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
kaam ab ko.ii na aa.egaa bas ik dil ke sivaa
raaste band hai.n sab kuucha-e-qaatil ke sivaa
Ali Sardar Jafri
Sher
ye ek pe.D hai aa is se mil ke ro le.n ham
yahaa.n se tere mire raaste badalte hai.n
Bashir Badr
Sher
Munawwar Rana
Sher
milnaa aur bichha.D jaanaa kisii raste par
ik yahii qissa aadamiyo.n ke saath rahaa
Sarvat Husain
Sher
raste me.n mil gayaa to shariik-e-safar na jaan
jo chhaa.nv mehrbaa.n ho use apnaa ghar na jaan
Parveen Shakir
Sher
o jaane vaale aa ki tire intizaar me.n
raste ko ghar banaa.e zamaane guzar ga.e
Khumar Barabankavi
Sher
Rais Farogh
Sher
safar ke saath safar ke na.e masaa.il the
gharo.n kaa zikr to raste me.n chhuuT jaataa thaa
Waseem Barelvi
Sher
vo kyaa manzil jahaa.n se raaste aage nikal jaa.e.n
so ab phir ik safar kaa silsila karnaa pa.Degaa
Iftikhar Arif
Sher
kaarvaa.n ke chalne se kaarvaa.n ke rukne tak
manzile.n nahii.n yaaro raaste badalte hai.n