SEARCH RESULTS
Showing search results for "rez-gaarii"
Sher MATCHES FOR "rez-gaarii"
Sher
dekh lenaa ek din be-roz-gaarii kaa azaab
chhiin kar chehro.n kii saarii dilkashii le jaa.egaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
mai.n chup karaataa huu.n har shab umaDtii baarish ko
magar ye roz ga.ii baat chhe.D detii hai
Gulzar
Sher
allah-re iltifaat-o-nadaamat kii saazishe.n
nazre.n milii.n talaafii-e-maafaat ho ga.ii
Raaz Muradabadi
Sher
tark-e-ta'alluqaat ko muddat guzar ga.ii
uf re hayaat phir bhii jiye jaa rahaa huu.n mai.n
Raaz Muradabadi
Sher
falak se roz utarte hai.n raushnii ke KHutuut
magar na chamke muqaddar Gariib-KHaano.n ke
Ashraf Javed
Sher
gaalii ke sivaa haath bhii chaltaa hai ab un kaa
har roz na.ii hotii hai bedaad kii suurat
Amanat Lakhnavi
Sher
ma.arka garm to ho lene do KHuu.n-rezii kaa
pahle shamshiir ke niiche hamii.n jaa baiThe.nge
Meer Taqi Meer
Sher
ret se duniyaa banaane me.n bikhar kar rah gayaa
har gha.Dii ehsaas hotaa thaa ki bas puurii hu.ii
Moid Rasheedi
Sher
jis roz mai.n gintaa huu.n tire aane kii gha.Diyaa.n
suuraj ko banaa detii hai sone kii gha.Dii baat
Muneer Shikohabadi
Sher
fuGaa.n ki mujh Gariib ko hayaat kaa ye hukm hai
samajh har ek raaz ko magar fareb khaa.e jaa
Josh Malihabadi
Sher
allaah re taraddud-e-KHaatir kii kasrate.n
tuuda banaa diyaa mujhe gard-e-malaal kaa
Naseem Dehlvi
Sher
chhup chhup ke jo aataa hai abhii merii galii me.n
ik roz mire saath sar-e-aam chalegaa
Abdul Hamid Adam
Sher
Shehzad Anjum Burhani
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
ko.ii chale to zamii.n saath saath chaltii hai
ye raaz ham pe ayaa.n gard-e-rahguzar se hu.aa
Amjad Islam Amjad
Sher
chaTaKH ke TuuT ga.ii hai to ban ga.ii aavaaz
jo mere siine me.n ik roz KHaamushii hu.ii thii
Salim Saleem
Sher
ek kiran phir mujh ko vaapas khii.nch ga.ii
me.n bas jism se baahar aane vaalaa thaa