SEARCH RESULTS
Showing search results for "roke.n"
Sher MATCHES FOR "roke.n"
Sher
ro.e.n na abhii ahl-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko KHaraab aur ziyaada
Asrarul Haq Majaz
Sher
aks-e-KHushbuu huu.n bikharne se na roke ko.ii
aur bikhar jaa.uu.n to mujh ko na sameTe ko.ii
Parveen Shakir
Sher
paidaa vo baat kar ki tujhe ro.e.n duusre
ronaa KHud apne haal pe ye zaar zaar kyaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
iimaa.n mujhe roke hai jo khii.nche hai mujhe kufr
ka.aba mire piichhe hai kaliisaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
Nida Fazli
Sher
roke se kahii.n haadsa-e-vaqt rukaa hai
sho.alo.n se bachaa shahr to shabnam se jalaa hai
Ali Ahmad Jalili
Sher
us kii KHvaahish hai ki ab log na ro.e.n na ha.nse.n
be-hisii vaqt kii aavaaz banaa dii jaa.e
Pirzada Qasim
Sher
jis taraf jaa.e.n jahaa.n jaa.e.n bharii duniyaa me.n
raasta roke tirii yaad kha.Dii hotii hai
Ahmad Rahi
Sher
kis ne sahraa me.n mire vaaste rakkhii hai ye chhaa.nv
dhuup roke hai miraa chaahne vaalaa kaisaa
Zeb Ghauri
Sher
raasta roke hu.e kab se kha.Dii hai duniyaa
na idhar hotii hai zaalim na udhar hotii hai
Nazeer Banarasi
Sher
Farhat Ehsas
Sher
maGrib mujhe khii.nche hai to roke mujhe mashriq
dhobii kaa vo kuttaa huu.n ki jo ghaaT na ghar kaa
Abdul Aziz Khalid
Sher
marg-e-aashiq pe farishta maut kaa badnaam thaa
vo ha.nsii roke hu.e baiThaa thaa jis kaa kaam thaa
Manzar Lakhnavi
Sher
Iqbal Kausar
Sher
pairahan chust havaa sust kha.Dii diivaare.n
use chaahuu.n use rokuu.n ki judaa ho jaa.uu.n
Shahzad Ahmad
Sher
yaar rote rahe sab ruuh ne parvaaz kiyaa
kyaa musaafir ke ta.ii.n shiddat-e-baaraa.n roke
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ik mauj-e-fanaa thii jo roke na rukii aaKHir
diivaar bahut khii.nchii darbaan bahut rakkhaa