SEARCH RESULTS
Showing search results for "rooh e adab maghr"
Sher MATCHES FOR "rooh e adab maghr"
Sher
jaanib-e-raah-e-adam jo bhii sidhaare jaa.e.n
ain mumkin hai kisii roz pukaare jaa.e.n
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
rah-e-qaraar ajab raah-e-be-qaraarii hai
ruke hu.e hai.n musaafir safar bhii jaarii hai
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
duniyaa se jaane vaalo.n ko raste me.n Gam nahii.n
siidhii sa.Dak hai pher kii raah-e-adam nahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ruu-e-zamii.n pe chaar arab mere aks hai.n
in me.n se mai.n bhii ek huu.n chaahe kahii.n huu.n mai.n
Rais Farogh
Sher
sirf ik qadam uThaa thaa Galat raah-e-shauq me.n
manzil tamaam umr mujhe Dhuu.nDhtii rahii
Abdul Hamid Adam
Sher
Saail Dehlvi
Sher
jalaa charaaG-e-'adam to 'ajab ujaalaa hu.aa
raah-e-vujuud kii manzil dikhaa.ii dene lagii
Riasath Ali Asrar
Sher
KHaal-o-KHat se aib us ke ruu-e-aqdas ko nahii.n
husn hai mus.haf me.n honaa nuqta-e-e.araab kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
havaa ho aisii ki hindostaa.n se ai 'iqbaal'
u.Daa ke mujh ko Gubaar-e-rah-e-hijaaz kare
Allama Iqbal
Sher
tuu apne paa.nv kii meh.ndii chhu.Daa ke de ai mahr
falak ko chaahiye Gaaza ruKH-e-qamar ke liye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
hotaa hai saaf ruu-e-kitaabii se ye ayaa.n
kaafir hai go vo but magar ahl-e-kitaab hai
Ranjoor Azimabadi
Sher
be-takalluf aa gayaa vo mah dam-e-fikr-e-suKHan
rah gayaa paas-e-adab se qaafiya aadaab kaa